Masaib Par Sabar Karnay Walo K Liye

Masaib Par Sabar Karnay Walo K Liye

Masaib Par Sabar Karnay Walo K Liye

Hazrat Anas (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (P.B.U.H) ne irshad farmaya:
"Aazmaish jitni sakht hoti  hai us ka badla bhi utna hi bara  milta hai. Allah Ta'la jab kisi qom se mohabbat farmatay hein to us ko azmaish mein daal detay hein. Phir jo us azmaish par razi raha yani sabar se kaam liya to Allah Ta'la bhi us se razi ho jatay hein or jo us par naraz huwa yani be sabri ka muzahira kia to Allah bhi us se naraz ho jatay hein."
(Sunan Al-Tirmizi 2396)

Ba Wazu Sonay K Fazail

Ba Wazu Sona

Ba Wazu Sona
  bawuzoo sonay k fazail
bawazoo sonay k fazail
bawuzoo sone ka fazail

Nabi Kareem (Peace Be Upon Him) ne farmaya:
Jo shakhs ba wuzoo ho kar Allah ka zikar kartay hue so jaye or phir raat kisi waqt aankh khulay or wo Allah se dunya or akhrat ki khair maang le to Allah use inayat farma dega.
(Sunan Abu Daood, Jild 4, Hadees 5042)

Sab Se Asan Jihad

Sab Se Asan Jihad

Hadees About Jihad

Jis ne kisi Ghazi ko Jihad ka saman diya, us ne bhi Jihad kiya. Or jo koi kisi Ghazi ke ghar walo ki nigrani or khair geeri mein laga raha us ne bhi Jihad kiya.

Dua Ki Qabooliyat K Auqat


dua ki qabooliyat ka waqt
dua ki qabooliyat

Raat K Akhri Hissa Mein Dua Qabool Ki Jati Hai

Abu Hurera (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (Peace Be Upon Him) ne farmaya:
Har raat jab akhri tihai reh jati hai to hamara Rab Aasman-e-dunya par utarta hai or farmata hai:
"Kon mujh se Dua karta hai k mein is ki Dua qabool karoo? Kon mujh se kuch maangta hai k mein usay ata karoo? Kon mujh se gunahon ki maafi chahta hai k mein is k gunah maaf kardoo."

Sajday Mein Dua Qabool Ki Jati Hai

Abu Hurera (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (Peace Be Upon Him) ne farmaya:
"Sajday ki halat mein banda apnay Rab k bohat qareeb hota hai, lehaza Sajday mein kasrat se Dua kiya karo"

Friday K Din Dua Qabool Ki Jati Hai

Abu Hurera (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (P.B.U.H) ne Friday k din ka zikar kiya or farmaya:
Is mein 1 ghari aesi hai jis mein koi Muslaman khara Salat ada karta hai or Allah se kuch maangta hai to Allah usay
inayat farma deta hai. Hath k isharay se Aap (Peace Be Upon Him) ne wazey farmaya k wo saa't mukhtasar si hai.

Toba Karnay Walay Ki Dua Raat Ya Din Ki Har Ghari Mein Qabool Ki Jati Hai

Abu Moosa Al-Ashari (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya:
"Allah Azzawojal raat k waqt apna hath phelata hai takay din mein gunah karnay wala toba karay to us ki toba qabool farmaye phir din k waqt apna hath phelata hai takay raat mein gunah karnay wala toba kare to us ki toba qabool farmaye yahan tak k Sooraj ghuroob hojata hai."

Roz-e-Mehshar Ka Sab Say Wazni Or Qeemti Sarmaya

Roz-e-Mehshar Ka Sab Say Wazni Or Qeemti Sarmaya

Roz-e-Mehshar Ka Sab Say Wazni Or Qeemti Sarmaya
Hazrat Abu Darda (R.A) farmatay hein k Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya:
"Qayamat k din meezan-e-amal mein koi cheez husn-e-ikhlaq se bhari na hogi."

Zikar Allah Ki Fazilat

Zikar Allah Ki Fazeelat

zikar Allah ki fazeelat
Hazrat Ibne Umar Rawi hein k Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya, Zikar Allah k baghair ziyada kalam na karo kiyonk zikar Allah k baghair kalam ki kasrat dil ki sakhti ka baa'is hai or yaad rakho k admio mein Allah se door sab se wo shakhs hai jis ka dil sakht ho.

Farz Namaz K Baad Kiya Zikar Karnay Chahiye

Farz Namaz K Baad Kiya Zikar Karnay Chahiye

Farz Namaz K Baad Kiya Zikar Karnay Chahiye
Farz Namaz Parhnay K Baad K Kalmaat

Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya: Namaz k baad parhay janay walay chand kalmat aesay hein jin ka parhnay wala kabhi mehroom nahi hota ye kalmaat har Farz Namaz k baad 33 martaba Subhan Allah, 33 martaba Alhamdulillah or 33 martaba Allah Hu Akbar hein. (Sahi Muslim 596)

Loh-e-Mehfooz

Loh-e-Mehfooz

Loh-e-Mehfooz
Hazrat Abu Hurera (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (P.B.U.H) ne irshad farmaya:
Jab Allah Ta'la ne makhlookat ko paida farmaya to Loh-e-Mehfooz mein ye likh diya:
"Meri rehmat meray ghussay par ghalib hai."
Ye tehreer Allah Ta'la k pass arsh par mojood hai.
(Sahi Muslim 7145)

7 Tabah Kun Gunah

7 Tabah Kun Gunah

7 Tabah Kun Gunah
  Hazrat Abu Hurera (R.A) se riwayat hai k Nabi Kareem (P.B.U.H) ne farmaya:
"7 tabah kun gunaho se bacho" logo ne poocha wo konsay gunah hein?
Aap (P.B.U.H) ne farmaya:
1. Allah k sath kisi ko shareek karna.
2. Jadoo karna
3. Kisi ko nahaq mar dalna
4. Sood khana
5. Yateem ka maal harap kar jana
6. Maidan-e-Jihad se bhaag jana
7. Naik aurto par tohmat lagana
(Bukhari, Muslim, Abu Daood, Sunan, Nisai)

Mehfil K Adaab

Mehfil K Adaab

Mehfil K Adaab
sargoshi in Islam
sargoshi Hadees k roshni mein

Hazrat Ibne Umar (R.A) se marwi hai k Nabi Kareem (P.B.U.H) ne irshad farmaya jab 3 admi jama ho to teesray ko chor kar 2 admi sargoshiya na kiya karein or koi shakhs doosray ko is ki jaga se utha kar khood wahan na bethay.
(Musnad Ahmed: Jild Som: Hadees # 1536)

Mard Ka Parda

Mard Ka Parda

Mard Ka Parda

Aurat ke parday ki to sab ko fikar rehti hai, sab poochtay hein aurat ka parda kesa hona chahiye?
Kiya koi janta hai Allah ne Quran mein mardo ke parday ka bhi zikar kiya hai.

Tarjuma: Aap momin mardo se farma dein ke wo apni nigahein neechi rakha karein or apni sharamgaho ki hifazat karein.
Mard ka parda nigahon ki  hifazat karna hai yani na mehram aurat samnay ho to apni nazro ko jhuka lay.

Hazrat Umar (R.A) Ki Fazeelat

Hazrat Umar (R.A) Ki Fazeelat

Hazrat Umar (R.A) Ki Fazeelat
Hazrat Abu Hurera (R.A) se marwi hai k Rasool Allah ne farmaya:
"Tum se Bani Israil mein aesay log guzar chukay hein jin se farishtay batay kartay thay (Jinhein ilhaam hota tha) agarcha wo Nabi na thay or agar meri Ummat mein koi aesa huwa to wo Hazrat Umar Farooq (R.A) hongay."

Dua Ki Qabooliyat Ka Zariya

Dua Ki Qabooliyat Ka Zariya

Dua Ki Qabooliyat Ka Zariya
Dua ki qabooliyat k liye Durood Sharif

Durood-e-Pak is the basis of acceptance of all Duas.

Tahajjud K Waqt

Tahajjud K Waqt

Tahajjud K Waqt
tahajjud ka waqt

Hazrat Abu Hurera (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (P.B.U.H) ne irshad farmaya:
"Jab raat ka akhri tihai hissa reh jata hai to Allah Tabarak o Ta'la aasman-e-dunya ki taraf nuzool farma kar irshad farmatay hein:
1. Koi hai jo much se Dua mangay or mein us ki Dua qaboll karoo?
2. Koi hai jo mujh se sawal kare or mein usay ata karoo?
3. Koi hai jo mujh se maghfirat chahay or mein us ki maghfirat kar doo?"

Orat Ka Khushbu Laga Kar Nikalna

Orat Ka Khushbu Laga Kar Nikalna

orat ka khushboo lagana kesa hai
Hazrat Abu Moosa Ashari (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (P.B.U.H) ne irshad farmaya:
"Jo bhi aurat khushboo laga kar na mehram mardo k paas se is liye guzray k wo is ki khushboo soongh len to aesi aurat zaniya hai."
(Sunan Nisai:5126)

Mezban Or Mehman

Mezban Or Mehman

Mezban Or Mehman
Hazrat Abu Shareeh (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (Peace Be Upon Him) ne irshad farmaya:
"Jo shakhs Allah or akhrat par Iman rakhta ho usay chahiye k wo apnay mehman ka ikram kare. Mehman ko khusoosi ziyafat (Khatir madarat) 1 din or 1 raat tak  hai, or umoomi ziyafat 3 din or 3 raat tak, 3 din baad bhi agar mezban bojh na samjhay or mehman ki ziyafat kare to ye Sadqa shumar hoga. Mehman ko chahiye k wo apnay mezban k paas itnay din na thehray k mezban harj or tangi mein parh jaye."

Mareez Ki Ayadat

Mareez Ki Ayadat

Mareez Ki Ayadat
  Hazrat Anas (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah ne irshad farmaya:
"Jo shakhs achi tarah wuzoo kar ke Allah Ta'la se ajar o sawab ka yaqeen rakhtay hue apnay Musalman bhai ki ayadat karta hai to usay jahannum se 70 saal ki musafat k barabar door kar diya jata hai."
(Sunan Abu Daood)

Khanay K Adaab

Khanay K Adaab

Khanay K Adaab

Hum se Ali Bin Abdullah Madinee ne bayan kiya, kahan hum ko Sufyan Soori ne khabar di, kaha ke mujhe Waleed Bin Kaseer ne khabar di, inhon ne Waheb Bin Kesaan se suna, inhon ne Umar Bin Abi Salma (R.A) se suna, inhon ne bayan kiya ke mein bacha tha or Rasool Allah (Peace Be Upon Him) ke parwarish mein or khate waqt mera hath bartan mein charo taraf ghooma karta. Is liye Aap (Peace Be Upon Him) ne mujh se farmaya ke betay! Bismillah parh liya karo, dahne hath se khaya karo or bartan mein wahan se khaya karo jo jaga tujh se nazdeek ho. Chunacay is ke baad mein hamesha ise hidayat ke mutabiq khata raha.

Jadu Say Bachao K Liye Ahtiyati Tadabeer

Jadu Say Bachao K Liye Ahtiyati Tadabeer

Jadu Say Bachao K Liye Ahtiyati Tadabeer
Deen Islam ne is jado or in jado garo se bachnay ka 1 behtareen hal diya hai wo hal or tareeka kar ye hai k Surah Baqarah ki tilawat ki  jaye, Ayat Al Kursi ki tilawat ki jaye har Namaz k baad, isi tarah har Namaz k baad Maoozat parhi jaye.
Raat ko sotay waqt dono hatho ko jama kar k phoonk mar kar akhri teeno Soortein parh kar pooray badan par pheren, ye amal 3 bar karein, dono hatheliya pehlay jama karein, in mein phoonk marein, phoonk marnay k baad teeno akhri Soortein parhein or saray badan par pher lein. Teesri bar phir isi tarah karein. Ye amal kul 3 martaba kiya jayega.

Gana Sunnay Ka Azab

Gana Sunnay Ka Azab

Gana Sunnay Ka Azab
gana sunna kesa hai
gana sunna in Islam

Hazrat Anas (R.A) ka irshad hai k Rasool Akarm (Peace Be Upon Him) ne farmaya k jo shakhs gana sunay ga to qayamat k din us k kano mein pighla huwa seesa dala jaye ga.

Har shakhs is dhoka mein mubtala ho kar gunah kar raha hai k baad mein toba kar loonga. Halakay baaz auqat gunaho ki nahoosat ki waja se toba ki tofeeq hi nahi milti! Kiya ye aqalmandi hai k ye soch kar zehar khaya jay k jab asar karnay lagay to taryaq pi loonga?

Ahl-o-Ayaal Par Kharch Karnay Ki Fazeelat

Ahl-o-Ayaal Par Kharch Karnay Ki Fazeelat

Ahl-o-Ayaal Par Kharch Karnay Ki Fazeelat
Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya k afzal deenar jo 1 shakhs kharch karta hai wo hai jo wo apnay ahl o ayal par kharach karta hai.
(Sahi Muslim 2311)

Jumma K Din Ki Mot

Jumma K Din Ki Mot

Jumma K Din Ki Mot
"Jo Musalman bhi Juma k din ya shab-e-Juma mein intiqal kar jaye Allah Ta'la usay Azab-e-Qabar se mehfooz rakhengay."

Sonay Ki Dua

Sonay Ki Dua

Sonay Ki Dua
A Allah! Teray hi naam k sath mein marta (Sota) or zinda (Baidar) hota hoo.
(Sahi Bukhari, Hadees: 6314)

Jumma Or Surah Kehaf

Jumma K Din Surah Kehaf K Fazail

Jumma K Din Surah Kehaf Parhnay K Fazail
  Jumma K Din Surah Kehaf Parhnay K Fazail

Jo Friday k din Surah Kehaf parhay us k liye 2 Friday k darmiyan 1 noor roshan kar diya jata hai. Jabkay 1 riwayat mein hai k jo Shab-e-Juma ko Surah Kehaf parhay is k or Bait-Ul-Ateeq k darmiyan 1 noor roshan kar diya jata hai.

Allah K Pasandeeda Azkar

Allah K Pasandeeda Azkar

Maaf Kartay Rahiye

Maaf Kartay Rahiye

Maaf Kartay Rahiye
Hazrat Abdullah Bin Umar (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (P.B.U.H) ki khidmat aqdas mein 1 Sahabi hazir hue or arz
kiya Ya Rasool Allah (P.B.U.H)! Mein apnay khadim ki ghalti ko kitni martaba maaf karoo? Aap (P.B.U.H) khamoosh rahay,
inho ne phir wohi arz kiya: Mein apnay khadim ko kitni martaba maaf karoo?
Rasool Allah (P.B.U.H) ne irshad farmaya: rozana 70 martaba."

Jism K Kisi Hissay May Dard Ho To


dard ki dua

  Syedna Usman Bin Abu Al Aas Saqfi kehtay hein: Mein jis din se Musalman huwa tha usi din se meray jism k 1 hissay mein dard hota tha. Mein ne is ki shikayat Allah k Rasool (P.B.U.H) se ki to Aap (P.B.U.H) ne farmaya:
"Jism mein jis jaga dard hai wahan apna hath rakho or 3 baar Bismillah kaho phir 7 martaba darj bala dard ki dua parho:
"Mein Allah ki zaat or us ki qudrat k sath panah chahta hoo is takleef se jo mujhay lahaq hai or har us takleef se jis se mein bohat darta or mohtaat rehta hoo."

Bus Kahi Say Bhi Aaye Paisa

Bus Kahi Say Bhi Aaye Paisa

Bus Kahi Say Bhi Aaye Paisa
Hazrat Abu Hurera (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (P.B.U.H) ne irshad farmaya:
"Logo par 1 aesa zamana bhi aaye ga k jis mein admi is baat ki parwah nahi karega k wo maal kahan se hasil kar raha hai, aaya halal zariye se ya haram zariye se."

Surah Ikhlas K Fazail

Surah Ikhlas K Fawaid

Surah Ikhlas k fawaid
Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya kiya tum mein se koi is se bhi aajiz hai k 1 raat mein tihai Quran parh liya kare? Sahaba (R.A) ne arz kiya k 1 raat mein tihai Quran kesay parha ja sakta  hai. Huzoor (P.B.U.H) ne irshad farmaya k Surah Ikhlas tihai Quran k barabar hai. To jis ne raat mein Surah Ikhlas parhi us ne goya tihai Quran parh liya.
(Sahi Muslim)

Mohtaji Door Karnay K Liye

Mohtaji Door Karnay K Liye

Mohtaji Door Karnay K Liye
mohtaji door karnay ka amal

Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya:
"Allah Ta'la farmatay hein A Ibn-e-Adam tu meri ibadat k liye farigh ho ja mein tera seena ghana se bhar doonga or mohtaji ko tujh se door kar doonga or agar tu meri ibadat k liye farigh na huwa to mein tujhay mehnat mazdoori mein masroof kar doonga or tujh se mohtaji door na karoonga."
(Al Tirmizi: 2466)

Chori Daketi Or Hadsat Say Bachnay K Liye Wazifa

Chori Daketi Or Hadsat Say Bachnay K Liye

chori daketi or hadsat say bachnay k liye
  Beemari, Takleef, Nazr-e-bad, Jadu Or Hasad Say Hifazat K Liye

  Jo shakhs ghar say nikalta huway sawari par bethay ya kisi kaam ki ibtida kartay huway 11 baar Allah Azzawojal ka sifati Ism Ya Hafeezu parhay ga har hadsay, pareshani, har dukh dard say mehfooz rahay ga, chori or daketi say bacha rahay ga or agar khanay ya peenay par parh kar khayen pieyn to har beemari, takleef, nazr-e-bad, jadu or hasad say hamesha hifazat rahay gi.

 

Bukhar Say Lekar Cancer Tak Har La Ilaj Beemari K Liye Amal

Har La Ilaj Beemari K Liye Amal

Bukhar Say Lekar Cancer Tak Har La Ilaj Beemari K Liye Amal

Beemari, Mushkil, Parshani Or Ghareloo Uljhano Say Nijat K Liye

Jo shakhs nalkay, tonti, talab, darya, nehar, chashma ya jahan say bhi Wuzu karnay k baad 3 ghoont pani beemari, mushkil, parshani ya ghareloo uljhano ki niyat kar k piye ga us k dil ki murad poori hogi. Bukhar say lekar cancer tak har la ilaj beemari k liye yeh amal aakhri ilaj hai lekin yaqeen shart hai.

Surah Yaseen K Kamalat

Surah Yaseen K Kamalat

Surah Yaseen ke kamalat

Surah Quraish Parhein Or Jhoomein

Surah Quraish Parhein Or Jhoomein

Surah Quraish k fawaid in urdu, delivery mein asani k liye
  Dard K Baghair Delivery K Liye
Delivery Mein Asani K Liye
Surah Quraish K Fawaid In Urdu
Sawari na milti ho, safar ki mushkilat ho, gari kharab ho gai ho, mobile, motor, fridge ya koi machine kharab ho gai ho to Surah Quraish 41 martaba bama tasmiya awal o aakhir 3 martaba Durood Ibrahimi parhany say mushkilat hal  ho jati hein. Haamla agar subah o sham 1 tasbeeh hamal k shru say aakhir tak parhay to delivery asan hogi, ghar k rashan par 101 martaba parhnay say barkat hogi, kabhi kami na hogi, hamesha k liye ghar say beemariya mushkilat khatam ho jayengi, zindagi mein sukoon, chain, barkat or aafiyat hogi. Hameshan subah o sham ki tasbeeh ka wird bananay say kamyabi muqaddar ban jayegi, jo shakhs khanay k baad 1 dafa parhay ga khana beemari nahi banay ga balkay us khanay say beemariya door ho jayengi. 2 baar parhnay say dastar khuwan hamesha acha milta rahay ga jo 3 baar parhay ga us ki naslo mein kabhi rizq khatam nahi hoga.

Surah Fatiha Or Ikhlas Ka Amal

Surah Fatiha Or Ikhlas Ka Amal

surah fatiha or ikhlas ka amal

Kisi bhi mushkil k hal k liye awal-o-aakhir 3 baar Durood Sharif, 1 baar Surah Fatiha 3 baar Surah Ikhlas parh k dua karein.

Shadi K Liye Wazifa

Shadi K Liye Wazifa In Urdu

Shadi K Liye Wazifa

Larkay Larkiyo Ki Shadi K Liye Wazifa In Urdu

 Larkay larkiyo k liye baad Namaz-e-Isha awal-o-aakhir 11 martaba Durood Sharif or darmiyan 121 martaba (See in image) parh kar Allah Azzawojal say Dua karein k Allah Azzawojal naik sualeh or tandurust sathi ata karay. 21 raatein, 41 raatein, 71 raatein ya 91 raatein karein. Har halat mein parh saktay hein, sara ghar parhay, faida ziyada hoga. Warna jitnay afrad parh sakein. Khoob bhikari ban kar, saail mohtaj ban kar parhein.

Namaz May Istiqamat K Liye

Namaz May Istiqamat K Liye

Namaz May Istiqamat K Liye

Namaz May Istiqamat K Liye

 Surah Kafiroon: agar koi bacha Namaz may kotahi karta ho to ghar ka koi fard 21 roz tak rozana 21 martaba Surah Kafiroon parh kar pani par dam kar k pilayen Insha Allah Namaz parhnay may istiqamat hogi.

Mizaj May Pabandi K Liye

Surah Juma: agar kisi shakhs may pabandi waqt na ho to Surah Juma 40 roz tak baad Namaz-e-Asar rozana parhay is k mizaj may pabandi hogi.

Safar Harmain Ki Khuwahish Rakhnay Walay

Surah Fatah: agar koi shakhs Hajj ka khuwahish mand ho or is ka zariya na banta ho to usay chahiye k 40 roz tak rozana 11 martaba Surah Fatah parhay Insha Allah ghaib say is k liye Hajj ka zariya ban jayega.

Miswak K Karishmat

Miswak K Karishmat

Miswak K Karishmat

 Miswak K Karishmat In Urdu

Jo shakhs miswak apni jaib mein rakhay ga accident hadsat say bacha rahay ga. Us ki jaib kabhi khali nahi hogi, na gahani aafat or ballyyat say us ki hifazat rahay gi. Rizq mein barkat hogi, chori, daka or cheena chapti say Allah Azzawojal usay mehfooz rakhay ga. Namaz k waqt miswak karnay walay ko aakhri waqt mein Kalima naseeb hogi. Moo say noor niklay ga, Allah Azzawojal zaban or moo ki aafaton say bachayen gay. Band aankhon k upar miswak phernay say aankho ka  noor sada rahay ga. Aankho k gunaho say nijat milay gi.

Khushboo K Faiday Hi Faiday

Khushboo Laganay K Faiday In Urdu

Khushboo K Faiday Hi Faiday

Khushboo Laganay K Faiday 

Khushboo lagana sunnat nabuwi (P.B.U.H) hai jo mustaqil khushboo lagaye ga rizq mein barkat hogi, sehat o tandurusti hogi, izzat shan o shokat o waqar sarbulandi har jaga milay gi. Ibadat mein khusoo khuzoo milay ga. Taqwa ka noor milay ga, farishto ki mehfil naseeb hogi, bay rozgar ko rizq milay ga. Bay ghar ko ghar, bay dar ko dar milay ga. Rozi barish ki tarah barsay gi, talib ilmo ko kamyabi, miyan biwi mein mohabbat barhay gi, ghareloo na chakiya khatam hongi, aapas mein mohabbatein barh jayengi. Muashray mein izzat paye ga. Barkat wali theli par khushboo laganay say rizq bay baha milay ga.
Note: Khawateen khushboo sirf ghar k andar lagayen ghar say bahar na lagayen.

Husn-o-Jamal Ka Qeemti Raaz


Husn-o-Jamal Ka Qeemti Raaz


Allah Azzawojal k sifati naam Ya Khaliqu Ya Musawiru Ya Jameelu ba kasrat har Namaz k baad 1 tasbeeh parhnay say aap qeemti beauty creams or lotion or beauty parlour say nijat payen gay, is wird say goya khoobsurti aap ki muthi mein, khoobsurat aulad chahnay wali haamla aurat hamal k shru say rozana Subah o Sham 1 tasbeeh ya chaltay phirtay har halat mein ba kasrat parhna sura karday or qudrat ki rahmat aankho say dekhiye. Yeh wird parhnay wala aemaal or ibadaat mein khoobsurti or khusoo khuzoo paye ga ye Wazifa larkay or larkiyo ki khoobsurti ka behtareen raz hai.

Wazifa For Beautiful Face

By reciting the Attribute Names of Allah Ta'ala Ya KhaLiqu Ya Musawwiru Ya Jameelu in abundance or 100 times after every prayer, you will get rid of expensive beauty creams, lotions and beauty parlors. From the beginning of pregnancy, a pregnant woman should start reciting one tasbih daily in the morning and evening or in every situation while walking and see the mercy of Allah with her own eyes. One who recites this name will find beauty and humility in deeds and worship. This wazifa is the best beauty secret for boys and girls.

Hifazat Ki Dua

Har Cheez Se Hifazat Ki Dua

hifazat ki dua
  Is Dua k parhnay walay ki hadsay, chori, dakay, cheezo k chin janay say hifazat hoti hai. Izzat, jan, zaat k hadsay say Allah bachata hai. Yeh Dua hifazat ka nizam hai.
Jo shakhs yeh hifazat ki dua parh kar ghar say nikalta hai farishtay uska ghera kar letay hein. Uski hifazat k liye noorani makhlooq hamatan ho jatay hein.

Ghurbat Or Tangdasti Door Karnay Ka Amal

Ghurbat Or Tangdasti Door Karnay Ka Amal

ghurbat or tangdasti door karnay ka amal


Jo chahta hai ghurbat or tangdasti hamesha k liye naslo tak door ho jaye is k liye yeh amal mujarrib hai. Fajar ki Namaz k baad Surah An Nasr 21 dafa parhay, 22 dafa Zohar k baad, 23 dafa Asar k baad, 24 dafa maghrib k baad, 25 dafa Isha k baad parhay. Surah An Nasr har Dafa talmiya k sath parhein. Awal-o-aakhir 3 dafa Durood Sharif parhei.

Dil Ki Beemari, Saans Ki Beemari Or Seenay K Tamam Imraz Ka Ilaj

Dil Ki Beemari, Saans Ki Beemari Or Seenay K Tamam Imraz Ka Ilaj In Urdu

Dil Ki Beemari, Saans Ki Beemari Or Seenay K Tamam Imraz Ka Ilaj In Urdu, Yadasht Ki Behtari Or Taleemi Kamyabi K Liye Wazifa

Yadasht Ki Behtari Or Taleemi Kamyabi K Liye Wazifa

Jo shakhs sotay waqt dil par dayan hath rakh kar Allah Azzawojal k Ism Ya Baaisu Ya Nooru dono mila kar 11 baar parhay ga dil ki beemario, saans ki beemario, seenay k tamam imraz ka khatma hoga, dil noorani hoga mustaqil mizaji say zikar, tilawat, tasbeeh, Namaz, Tahajjud ki tofeeq hogi ibadat or wilayat k rastay aasan hongay, agar talib ilm parhay yadasht behtar hogi, taleemi kamyabi milay gi, kashaf or dil ki aankhein khul jayengi gunaho say hifazat naseeb hogi.

Barkat Wali Theli Say Maldar Banye

Muflis, Tangdast Or Qarz Mein Doobay Huway Logo K Liye Anmol Tohfa

Muflis, Tangdast Or Qarz Mein Doobay Huway Logo K Liye Anmol Tohfa

Maal Mein Barkat K Liye Anmol Wazifa

 Guzishta Dor K Sahaba o Ahle Bait, Auliya e Karam ki zindagi mein barkat thi jahan aemaale sualeh thay wahan barkat wali theli bhi in ki sathi thi. Hazrat Hakeem Sahab ki khusoosi dam ki hui barkat wali theli muflis, ghareeb, nadar, tangdast or qarzo mein doobay huwo k liye 1 anmol tohfa or khazana hai. Aap tamam raqam thori ho ya ziyada isi mein rakhein or nikaltay or daltay waqt tasmia k sath 1 baar Surah Kausar parh lein kabhi barkat or raqam khatam nahi hogi. Mard apnay sath rakh saktay hein, aurtein apnay purse mein rakh sakti hein, ghar mein bhi rakh saktay hein. Rozana 129 dafa Subah o Sham Surah Kausar Ma Tasmia parh kar isi theli par dam kar dein, yeh amal din mein 1 baar bhi kar saktay hein lekin agar doobara karein to nafa ziyada hog. Jitna gurr utna meetha. Agar tamam umar ka mamool bana lein to phir kamal dekhein. Wuzu Bay Wuzu dono halaton mein kar saktay hein lekin Ba Wuzu ziyada hogi.

Bait-Ul-Khala May Janay Ki Dua

Bait-Ul-Khala May Janay Ki Dua

bait-ul-khala may janay ki dua


Ghaibi Rizq Or Khair-o-Barkat K Liye

Ghaibi Rizq Or Khair-o-Barkat K Liye Wazifa

Ghaibi Rizq Or Khair-o-Barkat K Liye

Ghaibi Rizq Or Khair-o-Barkat K Liye Qurani Dua
Is Qurani Dua ko parhnay walay ko Allah Pak ghaibi rizq ata farmatay hein, khair-o-barkat ata farmatay hein jahan kahi say rizq ka koi waseela nazar na aa raha ho, mayoosi or na umeedi ki atha gehrai mein ghiray shakhs par say pareshani door ho jati hai, is shakhs ka dastar khuwan nihayat hi wasee ho jata hai, Allah Pak k fazal-o-karam say naslo k liye rizq or barkat ka saman ha jata hai. Ramzan Sharif mein aftari k waqt parhan rizq k darwazay khulwa deta hai.
Tareeq Amal: Awal-o-aakhir taaq adad Durood 3, 5 ya 7 martaba parh kar 11 martaba yeh Qurani Dua parh kar aasman ki taraf moo kar k phoonk marein or Allah Pak say dil hi dil mein Dua maang lein. Zindagi bhar is amal ka mamool rakhein din mein kai baar bhi kar saktay hein, Ramzan Mubarak mein aftari say pehlay karein.

Lakho Arbo Durood Pak Parhne Ka Sawab

80 Saal K Gunah Maaf

Lakho Arbo Durood Pak Parhne Ka Sawab

Jo shakhs Friday ki den Asar ke baad 80 dafa yeh Durood Pak parhe ga uske 80 saal ke gunah maaf ho jate  hein. Or 80 saal ki ibadat ka sawab milega. Parh kar awwalein or aakhren ki arwah ko bakhsh dein Qayamat ke din usko Lakhon Arbon Durood Pak parhne wale ke barabar sawab mile ga. Insha Allah

Wo Log Jin Ki Dua Qabool Nahi Hoti

Wo Log Jin Ki Dua Qabool Nahi Hoti

Wo Log Jin Ki Dua Qabool Nahi Hoti
  Hazrat Abu Hurera (R.A) kehtay hein k Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya:
"Allah se qabooliyat k mukammal yaqeen k sath Dua karo or yaad rakho Allah ghafil or bay dhiyan dil ki Dua qabool nahi karta."

Mulk K Liye Behtar Hukmaran Ki Dua

Mulk K Liye Behtar Hukmaran Ki Dua

Mulk K Liye Behtar Hukumran Ki Dua


Aaj se nai hukumat bannay tak darj bala Dua ko kasrat se parhein.
A Allah! hum par aesay hukumran musallat na farma jo hum par Reham na karein, or hamaray baray mein tujh se darnay walay na ho.
(Tirmizi 3502)