Dua Ki Qabooliyat K Auqat


dua ki qabooliyat ka waqt
dua ki qabooliyat

Raat K Akhri Hissa Mein Dua Qabool Ki Jati Hai

Abu Hurera (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (Peace Be Upon Him) ne farmaya:
Har raat jab akhri tihai reh jati hai to hamara Rab Aasman-e-dunya par utarta hai or farmata hai:
"Kon mujh se Dua karta hai k mein is ki Dua qabool karoo? Kon mujh se kuch maangta hai k mein usay ata karoo? Kon mujh se gunahon ki maafi chahta hai k mein is k gunah maaf kardoo."

Sajday Mein Dua Qabool Ki Jati Hai

Abu Hurera (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (Peace Be Upon Him) ne farmaya:
"Sajday ki halat mein banda apnay Rab k bohat qareeb hota hai, lehaza Sajday mein kasrat se Dua kiya karo"

Friday K Din Dua Qabool Ki Jati Hai

Abu Hurera (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (P.B.U.H) ne Friday k din ka zikar kiya or farmaya:
Is mein 1 ghari aesi hai jis mein koi Muslaman khara Salat ada karta hai or Allah se kuch maangta hai to Allah usay
inayat farma deta hai. Hath k isharay se Aap (Peace Be Upon Him) ne wazey farmaya k wo saa't mukhtasar si hai.

Toba Karnay Walay Ki Dua Raat Ya Din Ki Har Ghari Mein Qabool Ki Jati Hai

Abu Moosa Al-Ashari (R.A) se riwayat hai k Rasool Allah (P.B.U.H) ne farmaya:
"Allah Azzawojal raat k waqt apna hath phelata hai takay din mein gunah karnay wala toba karay to us ki toba qabool farmaye phir din k waqt apna hath phelata hai takay raat mein gunah karnay wala toba kare to us ki toba qabool farmaye yahan tak k Sooraj ghuroob hojata hai."

No comments:

Post a Comment