Nazla Zukam Khansi Ka Ilaj In Urdu

Nazla Zukam Khansi Ka Ilaj In Urdu

nazla zukam khansi ka ilaj in urdu
Resha aur balgham 1 aesa marz ha jo insan ki zindagi ko tang kar ke rakh deta ha. Aksar logon ke nazla zukam aur khansi ki beemari mein balgham ki shikayat bohat hoti ha. Ye soorate haal kaafi takleef deh hoti ha. Baray baray buzrugo ka kehna ha ke balgham ki waja se dimagh aur nazar kamzor hoti ha.
Is nuskhe ki badolat aap ki balgham, khansi, nazla zukam, awaz ka beth jana aur galay mein balgham ka phans jana in amraz se hamesha ke liye jaan chooti jayegi.

Ingredients:
1 glass pani    1 chammach kalonji

Method:
Resha aur balgham ko khatam karne ke is karamad nuskhe ko banane ka tarika ye ha ke aap 1 chota sa bartan le lein ab aap is mein 1 glass pani dalein aur 1 chammach kalonji shamil karein. In doni ajza ko mix kar ke aap is bartan ko darmiyani aanch mein 5 se 7 minute choolhe par rakhein aur isko pakayen 7 minute baad aap iska dhakkan dhanp dein aur halki se aanch par taqreeban 3 minute aap isko mazeed pakayen. 3 minute baad kalonji ki chai tayyar ho jayegi.
Resha aur balgham se chutkara hasil karne ke liye aap ne kalonji ki ye chai 10 se 15 din rozana nihar moo peeni ha. Kalonji ki ye chai mard aur khawateen larkiyan aur larkay sab hi istemal kar sakte hein. Is ko peene se aap ka resha aur balgham bilkul khatam ho jayengay. Kam umar bachon ko ye nuskha istemal na karwayn sirf baray log hi istemal karein Insha Allah aap ke naak aur moo se behne wala balgham bilkul khatam ho jayega.

4 comments: