Mooli Ke Fayde

 

mooli ke fayde

Mooli jar wali mashoor sabzi hai, ye surkh o safed 2 qisam ki hoti hai salad ke tor par khai jati hai ise paka kar bhi khaya jata hai aur iske parathe bhi banaye jate hein. Iska mizaj garam tar hai is mein Vitamin C, Phosphorus, Calcium aur Iron ki khasi miqdar hoti hai. Mooli khane ko hazam karti hai ye antario ki harkat tez kar ke constipation ko khatam karti hai. Peshab band ho to muli khate rehne se afaqa hota hai peshab ke bohat se amraz maslan ruk ruk kar aana, jal kar aana ya qatra qatra aana muli ke istemal se khatam ho jatte hein. Mooli khane se dant mazboot hote hein, gums disease aur Pyorrhoea ko faida hota hai. Mooli ke rus mein zehro ka taryaq hai hath mein muli ka rus mal kar bichoo pakar lein to bichoo ka dung asar nahi karega. Mooli ka rus dhund, jala aur motiyabind ko shifa dekar nazar tez karta hai, mooli jism mein niswani aur mardana amraz ko bhi shifa bakhshti hai, bawaseer ka sab se kamyab ilaj mooli se hi mumkin hai. Yarqan ke marz ko bhi mooli se afaqa hota hai, tilli aur jigar ke amraz mein muli behad mufeed hai, dama nazla zukam, purani khansi, ahosb e chasham mein mooli ka namak behad mufeed hai. 

Ya Razzaqo Ka Wazifa

 

ya razzaqo ka wazifa

ya razzaqo ka wazifa

1. Jo is ism Ya Razzaqo ko 100 baar qaidi ki rihai ke liye pare ga usay khalasi milegi aur agar beemar ki sehat ke liye parhe ga use shifa milegi, Insha Allah.
2. Jo shakhs ism mubarak Ya Razzaqu ko 17 baar us shakhs ke samne parhe jis se koi hajat ho Insha Allah wo hajat poori ho jayegi.
3. Jo har Namaz ke baad Ya Razzaq parhne ka mamool banaye ga ghaib se rozi paaye ga.
4. Jo is ism Ya Razzaqo ko rozana tanhai mein 1000 baar parhega Insha Allah rohani maqam payega.
5. Jo koi ism mubarak Ya Razzaqu ko 545 baar rozana parhe ga, rizq uska kushada hoga aur dushwari na aayegi.
6. Jo Fajar ki sunnat o farz ke darmyan 41 din tak 550 martaba ye ism rozana parhe ga wo dolat mand hoga, is mein fajar ki Namaz jamat se parhna aur ism mubarak ke awal o akhir 11, 11 baar Durood Shareef parhna shart hai.