Dolat Ka Wazifa

Dolat Ka Wazifa

dolat ka wazifa

Nazireen aksar logon ke zuban par ye gila o shikayat rehti ha ke in k hathon mein paise nahi tikte balke kharch ho jate hein. Aesay log jin ke paiso mein ya rizq mein barkat nahi ha ya wo log jo samajhte hein k wo rizq ki bandish ka shikar hein to pareshan na ho balke is masle mein mubtala afrad ye wala dolat ka wazifa karein. Rozana Namaz e Fajar aur Namaz e Isha ke baad 1100 martaba Ya Ghani'u ka wird karein aur awal o akhir 1, 1 baar Durood Shareef parhein. Allah Ta'la ke fazal o karam se in ke rizq mein bepanah izafa hoga aur barkat hogi. Dolat Ka Ye Wazifa bohat mujarrab aur rizq aur bandish ke khatme ke liye nihayat behtareen ha. Koi bhi dukandar ya tajir dukan kholne se pehle 70 martaba "Ya Ghani'u" parhe ga to Insha Allah karobar mein barkat aur rizq mein izafa hoga aur kabhi bhi kisi nuqsan ka khof nahi rahega.
Jumerat aur Jumma ki shab is ism mubarak "Ya Ghani'u" 19000 martaba parhne aur amal ko jari rakhne se insan ko ghaib se dolat milti ha aur bohat jald karobar mein tarakki hogi aur rizq e halal kahan kahan se aaye ga ke aqal dang reh jayegi.
Pani ka 1 glass lein aur awal o akhir 1, 1 baar Durood Shareef aur darmiyan mein 10 baar "Ya Ghani'u" parh kar dam kar dein aur is pani ko ahtiyat se ghar ke charo kono mein chirak dein Insha Allah is amal ki barkat se rizq ki tangi nahi hogi aur rizq mein bepanah izafa hoga.

No comments:

Post a Comment