Pehli Saf May Namaz Parhna

Pehli Saf May Namaz Parhna
pehli saf may namaz parhna

Infaradi Namaz ke muqablay mein jamat ke sath Farz Namaz parhnay ki fazeelat 27 guna ziyada hai lekin jamat ki Namaz mein bhi pehle saf mein Namaz parhnay ka sawab sab se ziyada hai. Hazrat Muhammad (Peace Be Upon Him) ne irshad farmaya "Agar tumhay maloom ho jaye k pehli saf mein kiya fazilat hai to qura andazi karni parhay, Hazrat Abu Umama (R.A) riwayat kartay hein ke Hazrat Muhammad (Peace Be Upon Him) ne farmaya, Allah or us ke farishtay pehli saf par rehmat bhejtay hein." (Musnad Ahmad)

Or Hazrat Haaz Bin Sariya (R.A) farmatay hein ke Hazrat Muhammad (P.B.U.H) pehli saf ke liye 3 martaba astaghfar farmatay thay or doosri saf ke liye 1 martaba. (Nasai Ibn Majah)

Lehaza youn to har Namaz pehli saf mein parhnay ki koshish karni chahiye or agar har Namaz mein is ki pabandi no ho sakay to jab kabhi moqa milay pehli saf ki fazeelat hasil karne ki fikar ahtamam karni chahiye lekin pehli saf mein is tarah zabardasti ghusna jaiz nahi hai jis se doosron ko takleef ho.

Chunanachay Hazrat Ibn Abbas (R.A) ne irshad farmaya "Jo shakhs is khof se pehli saf ko chor day ke kisi doosray ko takleef hogi to Allah Ta'la is ko pehli saf ke sawab se dugna sawab ata farmatay hein."


1 comment:

  1. Unke ke baare me kya huqm hai Jo khud paheli saf Se bachte hai or dusro ko paheli saf me rukne ke liye force karte hai aur khud piche rukte hai jaanbujhkar

    ReplyDelete