Namaz K Masail

Namaz K Masail
namaz k masail in urdu
Question: Qaza Namazo ko kese ada karna hoga?
Answer: Qaza Namazo mein sirf Farz or Witar parhtay hein, sunnatein or nafilein nahi.

Question: Kai saal ki Namazein qaza ho gai ho to inhein kese ada kiya jaye?
Answer: Admi ko koshish karni chahiye ke koi Namaz bhi qaza na hone paye or agar kisi waja se koi Namaz qaza ho jaye to usay jald se jald ada kar lena chaiye. Kisi shakhs ki agar kai saal ki Namazein qaza ho jayen to andaza kar ke k itnay arsay ki Namazein qaza ho gai hongi, is se kuch ziyada Namazein parh li jayen or asan tarika yeh hai k har waqti Namaz k sath 1 ya 2 qaza Namazein bhi parh li jaye.

Question: Qaza Namaz parhtay waqt niyat kis tarah ki jaye gi?
Answer: Qaza Namaz parhtay waqt is baat ka tayyun karna zaroori hai ke yeh Namaz falan din, falan tareekh ki ada ki  jarahi hai lekin yeh yaad rehna bohat mushkil hai, is liye asan tarika yeh hai ke qaza Namaz ke liye is tarah niyat kar li jaye ke meray zimmay maslan Zohar ki jo Namazein hein, in mein se pehli Namaz ada karta hoo. Har martaba pehli Namaz hi ki niyat karni hogi. Jo bhi Namaz parhi jaye us ka naam le liya jaye.

Question: Sharan Namazi kon shakhs kehlaye ga?
Answer: Sharan Namazi wo shakhs kehlaye ga ke jab se us par Namaz farz hui hai us koi Namaz bhi qaza na hui ho or tamam Namazein pabandi se ada karta ho. 

Question: Aesa shakhs jo Namaz ka paband ho ittifaqan kisi waja se us ki kuch Namazein qaza ho jayen to usay pehlay qaza ho janay wali Namazein ada karni chahiye ya waqti Namazo ke sath sath qaza Namazein bhi parhta rahay?
Answer: Aesay shakhs ki agar pancho Namazo se kam Namazein qaza ho jaye to usay pehlay qaza ho janay wali Namazein parhni chahiye, jab wo sari Namazein parh lay tab waqti Namazein parhi jaye or agar qaza Namazein poori na parhi ja sakein or darmiyan mein waqti Namazein parh li to un qaza Namazon ko mukammal kar lenay ke baad wo waqti Namaz jo parhi gai thi us ko doobara parhna hoga.

Question: Witar mein teesri rakat mein Surah parhna bhool jaye to kiya Namaz ho jaye gi?
Answer: Witar ki teesri rakat mein Surah parhna bhool janay ki soorat mein Namaz doobara parhni hogi.

No comments:

Post a Comment