Kharbooza Ke Fawaid

Kharbooza K Fawaid

kharbooza k faiday in urdu

melon benefits in urdu
kharboozay k fawaid
kharbooza maza bhi shifa bhi

Jo log kharbooza ka baqaida istamal kartay ein un ka chehra daagh dhabbo se saaf rehta hai or badan ki khushki nahi hoti. Rago patho ki qudrati lachak rehti hai or bhook ko taskeen rehti hai. Mosami garmi ka muqabla karnay ki taqat paida karnay wala Vitamin D is mein bakasrat mojood hai.
Is k ilawa phosphorus, potassium, calcium, copper, glucose or vitamin AB bhi paye jatay hein. Gosht bananay walay ajza k ilawa roghani or nishasta dar ajza ka bhi nadir majmooa hai. Mashoor aam phal hai, Hind o Pak mein ba farat hota hai. Ghatya qisam k kharboozay 10% meethay nikaltay hein. Queta k garmay or lucknow k chatlay behtareen aqsam hein.
Is k chilkay ka lap chehray k rang ko saaf karta hai. Nihar moo khana munasib nahi. Do ghiza k darmiyan khana, badan ko mota karta hai. Rago mein jald nafiz hota  hai, doodh barhata hai. Gurda ki islah karta hai is k chilko ka namak dard-e-gurda ki dawaon mein dala jata hai.
Mulattaf bhi hai doodh or mani (Sperm) ziyada karta hai. Maqwi bah hai. Chehray ki siyahi ko zail karta hai or jali honay k ba'is in ko chilko k baghair pani mein pees kar chehray pr lap kartay hein.

Kharbooza kha kar upar se cheeni ka sharbat peene se weight barhta hai.
Kharbooza loo or tapish se bachata hai.
Kharbooza kha kar milk peena theek nahi.
Kharbooza khali pait nahi khana chahiye, khana khane ke kuch dair baad kharbooza khana ziyada mufeed hai.
Kharboozay ka chilka khana dard e gurda ke liye mufeed hai, pathri kharij karta hai.


No comments:

Post a Comment