Amrood K Faide

Amrood K Faide

guave benefits in urdu

amrood k faiday in urdu
  guava benefits in urdu
amrood k faiday in urdu
amrood ke fawaid

Jin logo ko garmiyo mein nakseer ka aarza ho ya wo aurtein jin ko haiz ki be qaidgi ki shikayat ho un ko chahiye k wo amrood ka istamal zaroor kiya karein kiyounk in 2 amraaz mein ye na sirf la jawab ghiza hai  balkay dawai k tor par bhi apnay maqam mein sani nahi rakhta or shandar fawaid samnay aatay hein.
Khooni bawaseer mein bhi ye akseer ka darja rakhta hai. Is se masso ki jalan bhi jati rahti hai. Bawaseer mein qabz ko door karna zaroori hota hai or qabz door karnay ki salahiyat amrooz mein bohat paai  jati hai.
1 mashoor aam phal hai jo aksar khaya jata  hai. 2 qisam ka hota hai. 1 andar se white or doosra red, red amrood ziyada acha hota hai, kachay amrood ka salan banatay hein.
Pakkay amrood ka dahi mein raita lazeez hota hai is darakht ki chaal mein 25% tank acid paya jata hai. Baaz musannifeen ne amrood ka Arabic naam kamsari likha hai.
Quwat hazma ko taqwiyat deta hai, dil or maida ko taqat o farhat bakhshta hai.
Khannaq door karta hai, zukaam, bawaseer or qabz k mareezo ko nafe hai bhook barhata hai.
Ise thora sa salt or kali mirch laga kar khana mufeed hai or roti khanay se pehlay hi ise khana chahiye kiyounk roti k baad khanay se qabz karta hai. Amrood k beej bilkul hazam nahi hotay isi wastay khatay waqt jitnay nikaal sakhein behtar hai. Dil o dimagh or maida ko taqat deta hai.

Expert ka kehna hai k amrood blood pressure ke mareezo ke liye nihayat mufeed or moassar hai. Sard tar mizaj ka hamil phal amrood farhat bakhsh or lazzat se bharpoor hai, amrood mein A or C ke ilawa calcium paya jata hai, jo beemario ke khilaf quwat mudafiat peda kartay hein. Mahireen ka kehna hai k amrood mein mojood ajza khoon ki rawani ko kam kar ke bahao balance karne mein madadgar sabit hotay hein jis si high blood pressure se  nijat hasil karne mein madad milti hai. Mosam sarma ke mosam mein amrood ka istamal sehat ke liye kafi faida mand samjha jata hai, amrood mein kai tarah ke vitamin miltay hein jo jism ko sehat barqarar rakhne mein madad kartay hein, amrood dil se mutaliq beemario mein bhi faida pohanchata hai.

1 comment: