Health Benefits Of Yogurt

In hot weather, the use of yoghurt increases anyway. Some people make lassi and drink it, while others make raita. Yogurt is one of the best and cheapest source of protein in our diet. But today we are going to tell you a new way of using yogurt which you will definitely use knowing its benefits.

Tip No. 1: Put three black raisins in a cup of yogurt and cover it overnight. In the morning, eat this yogurt and chew raisins.

Benefit: Yogurt is most useful for people suffering from stomach ache, constipation and nausea, as the probiotic ingredients in yogurt ensure the excretion of excess waste products from the stomach.

Tip No. 2: Put a cup of yogurt in a blender and blend it with four black raisins, then add a little black salt and eat.

Benefit: People whose body trembles due to weakness should use yogurt and black raisins in this way, the body will become strong and weakness will never come.

Tip No. 3: Add black raisins powder to lemon juice and yogurt and eat it in the morning.

Benefit: It will get rid of worms in your stomach, control bowel problems and most of all, improve blood circulation.

Dahi Khane Ke Fayde

dahi khane ke fayde

Garmi ke mosam mein to dahi ka istemal wese bhi barh jata hai koi lassi bana kar peeta hai to koi iska raita banata hai. Dahi hamare khano mein sab se ziyada behtareen aur saste protene hasil karne ka khas zariya hai. Lekin aaj hum aap ko dahi k istemal ka 1 naya tarika batane ja rahe hein jis ke faide jaan kar aap ise zaroor istemal kareingay.

Tip # 1: 1 cup dahi mein 3 kali kishmish dalein aur isko raat bhar dhak kar rakh dein. Subah nihar moo is dahi ko kha lein aur kishmish chaba lein. Faida: Jab logon ko pait dard, qabz aur matli ki shikayat rehti ha in ke liye ye dahi sab se ziyada mufeed hai kiyounke dahi mein mojood probiotic ajza pait mein se izafi fazil mado k ikhraj yaqeeni banate hein.

Tip # 2: 1 cup dahi ko blender mein dalein aur is mein 4 kali kishmish daal kar blend karein, phir halka sa kala namak dalein aur khalein. Faida: Wo log jin ka jism kamzori ki waja se kanpta hai, in ko chahiye k wo is tarah dahi aur kali kishmish ka istemal karein, jism taqatwar ho jayega aur kabhi kamzori nahi aayegi. 

Tip # 3: Kali kishmish k powder ko lemon k rus aur dahi mein shamil karein aur is ko subah nihar moo khayen. Faida: Is se aap ke pait mein mojood keere nikal jayengay, aanto k masail control mein aa jayengay aur sab se barh kar doran e khoon bhi behtar ho jayega.

No comments:

Post a Comment