Health Benefits Of Ginger

Health Benefits Of Ginger

Ginger is a commonly used herb that has many benefits ranging from indigestion to strengthening the physical defense system. In terms of the benefits and characteristics of ginger, it is enough to say that Allah has stated in regard to the blessings found in Paradise that they will be given a drink in which ginger is also mixed. Ginger was used in ancient Chinese medicine to treat muscle and joint problems, but now a recent scientific study has also researched the medical benefits of ginger and described it as an effective means of relieving joint and muscle discomfort. The famous Chinese herb Ginseng, which is used as a medicine in many diseases, is actually a type of ginger.
Research conducted in the US state of Georgia has shown that daily use of ginger is a very effective means of protecting muscles as well as joints. According to a report published in a medical journal, the use of ginger has the potential to reduce muscle pain by 20 to 25 percent.
According to nutritionists, ginger has the ability to reduce arthritis and joint pain, a combination of gingerol in ginger relieves inflammation and pain. Another study showed that people with knee problems experienced a decrease in ginger ingredients when fed.

Ginger Benefits In Urdu

ginger benefits in urdu
Adrak aam istemal hone wali aesi jari booti ha jo bad hazmi se lekar jismani difai nizam ko mazboot banane tak mutaddid fawaid ki hamil ha. Adrak ke fawaid o khusoosiyat ke lihaz se itna kehna kafi ha ke Allah Ta'la ne jannat mein pai jane wali nematon k hawale se irshad farmaya ha ke wahan inehin aesa mashrob pilaya jaye ga jis mein adrak bhi mila huwa hoga. Qadeem cheeni tarika ilaj mein adrak ko pathon aur joron ki takaleef ke ilaj ke liye istemal kiya jata tha, taham ab 1 haliya scientific research ne bhi adrak ke tibbi fawaid par tehqeeq kar ke ise joron aur pathon ki takaleef se nijat ko mossar zariya qarar diya hai. Cheen ki mashoor booti ginseng jo mutaddid amraz mein bator e dawa istemal ki jati ha darasal adrak ki hi 1 qisam ha.
American State Georgia mein ki jane wali is research se maloom huha ha ke adrak ka rozana istemal pathon ke sath sath joron ki takaleef se hifazat ka bhi intahai moassar zariya ha. 1 tibbi jareeday mein shaya hone wali report ke mutabiq adrak ka istemal pathon ke dard mein 20 se 25 percent tak kami karne ki salahiyat rakhta ha.
Ghizai mahireen ke mutabiq adrak gathiya aur joron ka dard kam karne ki salahiyat hoti ha, adrak mein mojood gingerol nami murakkab soozish aur dard door karta ha. 1 aur research se maloom huwa ha ke jab ghutno ki takleef mein mubtala logo ko adrak ke ingredients khilaye gaye to takleef mein kami mehsoos hui.

No comments:

Post a Comment