Gurde Ki Pathri Ka Ilaj

Gurde Ki Pathri Ka Ilaj

gurde ki pathri ka ilaj

Quran Shareef ki har Surah Mubarka hikmat aur nijat se labriz ha. Yahan aaj hum Surah Anfal ke rohani fawaid pesh karne ja rahe hein. Surah Anfal ke meaning qudrati zakhair ya qudrati maal ke tor par liya jata ha lekin ye Surah Ghazwa e badr ke moqa par nazil hui jis ki waja se ise Surah Badar bhi kaha jata ha isi waja se Surah Anfal ka matlab maal e ghanimat ke tor par liya jata ha.
Surah Anfal ka parhne wala hamesha kamyab rehta ha use izzat ke sath dushmano par hebat hasil hoti ha. Surah Anfal be gunah qaid mein kiye gaye qaidi ki rihai ka zariya ha Surah Anfal likh kar mom jama mein daal kar agar bazoo par bandh kar zalim hakim ke samne ya adalat mein jaye to kamyabi hasil ho. 
Kisi shakhs ko pathri ho to Surah Anfal parh kar dam kare ya pani par dam kar ke piye to pathri kharij ho jayegi Insha Allah. Imtihan mein kamyabi ke liye Surah Anfal rozana prhi jaye to imtihan mein kamyabi naseeb hogi Insha Allah.
Kheton ko nuqsan se bachane ke liye Surah Anfal arq o zafran se likh kar pani mein ghol kar wo pani kheton mein chirka jaye to fasal ko nuqsan na hoga. Zaani ko zina se rokne ke liye Surah Anfal 41 dafa parh kar kisi meethi cheez par dam kar ke kisi tarika se use khilaya ya pilaya jaye to us buray kaam se uska dil bhar jayega aur naik ho jayega. Rizq ki tangi shikaar afarad roz Surah Anfal ko parhne ka mamool bana lein to rizq ki tangi se nijat mil jayegi aur rizq ki tangi se bache rahengay.

No comments:

Post a Comment