Pait Ki Gas Ka Fori Ilaj

Pait Ki Gas Ka Fori Ilaj

pait ki gas ka ilaj

Baaz auqat nizam e inehzam ki be qaidgi ki waja se stomach mein gas jama ho jati ha jo ke sakht be chaini aur takleef ka bai's banti ha is masle ka natural hal bohat asan aur sada ha jo ke darasal roz mara ki kuch ghizai ashya mein hi posheeda ha.
Is silsila mein sanobar ka phal jo ke chhoti chhoti goliyo ki soorat mein hota ha intahai mufeed ha khane ke baad ise hasbe zaroorat chaba lena chahiye pait ke masil khusoosan gas aur dard waghera ke liye sonf ke isemal 1 azmooda nuskha ha ye gurdon aur jigar ke liye bhi mufeed ha.
Hazme ko durust rakhne ke liye ilaichi bhi faidamand ha ise vegetabels aur rice mein pakate waqt dala ja sakta ha ya tea aur qehwa mein daal kar bhi istemal kiya ja sakta ha. Gas ko khatam karta ha aur dhanya na sirf khushboo aur taste ke sath hazme ko tez karta ha balke gas aur hichkiyo se bhi nijat dilwata ha ise khana pakate waqt sath shamil kiya ja sakta ha.
Pait mein garbar aur gas ka 1 acha ilaj lemon bhi ha khane ke baad 1 cup pani mein 1 spoon lemin juice aur half spoon baking soda daal kar use karein hazmay aur khusoosan gas ke masail ko hal karne ke liye haldi bhi intahai mufeed ha ise vegetables ya rice mein daal kar use kiya ja sakta ha.


Home Remedies For Gas


Sometimes, due to the irregularity of the digestive system, gas accumulates in the stomach, leading to discomfort and pain. The natural solution to this problem is straightforward and simple, as it is found in some everyday food items. One such remedy is the fruit of pine, which is small and round. It is highly beneficial, and after meals, it should be chewed as needed. Using fennel is a proven method, especially for gas and pain in the stomach. It is also beneficial for the intestines and liver. Cardamom is also beneficial for maintaining digestion. It can be added to vegetables and rice while cooking or used in tea or coffee. Coriander not only adds flavor and aroma but also aids digestion and relieves gas and hiccups. It can be added while cooking meals. Lemon is an excellent remedy for indigestion and gas. After meals, mix one tablespoon of lemon juice and half a teaspoon of baking soda in a cup of water and use it. Turmeric is also highly beneficial for resolving digestive issues, especially gas. It can be added to vegetables or rice. By incorporating these remedies, you can effectively treat bloating and gas in the stomach.

No comments:

Post a Comment