Toenail Fungus Treatment In Urdu

Toenail Fungus Treatment In Urdu

toenail fungus treatment in urdu
toenail fungus treatment in urdu

Legs ke nails ka toot jana kafi aam masla ha kiyounke nails ko kisi cheez par hadsati tor par maar dena ya pair kuch bhari gir jane par aesa hota ha.
Magar is masle pr qabu kese pate hein. Is ka inehsar is baat par ha ke nakhun kitna toota ha aur kitna hissa tahal jura huwa ha.

In Halaat Mein Aap Ko Kiya Karna Chahiye?

Aap toot jane walay nails ki dekh bhaal ghar mein is soorat kar sakte hein.
Agar nakhun bohat ziyada ukhra na ho aur kafi hissa tahaal skin se attach ho.
Agar khoon fori tor par tham jaye.
Baqi bach jane walay nails ke neechay kuch blood ho (Je ke siyah - neelay dhabbe ki shkal ka nazar aayega), magar takleef na ho.
Nails dekhne mein normal nazar aa raha ha.
Agar is mein takleef ho to nakhun ko thanday pani mein 20 minute ke liye dubo dein.
Is ke akhar janay walay hisse ko kaat lein takay wo kapron ya kisi aur cheez mein phans kar mazeed akhar na jaye.
Is maqsad ke liye saaf scissor ya nail cutter ka istemal karein, agr nakhun side ukhray ho magar kone juray ho to aap ko katne ki zaroorat nahi.
Ukhar jane walay nails ke neechay mojood satah ko kisi nuqsan se bachane ke liye 7 se 10 din tak tahaffuz faraham karein takay wo sakht ho jaye. Is maqsad ke liye mutasira hisse ko antibiotic ointment laga kar non stick bandage se dhak dein.
Bandage ko daily change karein ya jab geeli ho jaye to bhi badelin.
Nakhun ukharne ke baad 2 roz tak dard mein kami aur soojan se bachne ke liye apnay legs ko zara oonchi satah par rakhei, is maqsad ke liye takye ko use karein takay legs dil ke satah se ooncha ho.
Har 3 se 6 ghante baad baraf ko kisi towel mein lap kar mutasira hisse mein 20 minute ya is se kam par rakhein.

Kiya Na Karein?

Agar nakhun juzwi tor par ukhra ho to juray hue hisse ko ukharne se gurez karein.
Nails ke neechay mojood jild samay aane par ise mamool ki patti se na dhanpein kiyounke agar wo chipak gai to use badalna mushkil aur intahi takleef deh hoga.

Kab Doctor Se Rujoo Karein?

Agar koshisho ke bawajood takleef barh jaye ya aesay lage ke chot sangeen ho rahi ha to apnay Doctor se rujoo karein, ya in soorton mein fori tibbe imdad lein.

Agar Nakhun Poora Ukhar Jaye

Agar affected hisse mein infection ka doubt ho to Doctor se consult karein.

Is Se Bachein Kesay?

Baray nails ya baray konay asani se door ya carpate men phans sakte hein, to apnay nails munasib had tak tarashna adat banayen.
Shoes ke andar nails se zor lagane ki adat ho to use tark kar dein kiyounke is se bhi nails ukharne ka khatra barh jata ha.

No comments:

Post a Comment