Uric Acid Ka Ilaj In Urdu

Uric Acid Ka Ilaj In Urdu

uric acid ka ilaj
uric acid ka ilaj in urdu

desi totkay for uric acid
uric acid ka desi ilaj in urdu

Purine ke tootne ki waja se body mein Uric Acid banta ha jo khoon se gurdon tak pohanchta ha aur gurdon se urine ke zariye jism se bahar nikalta ha. Jab Uric Acid jism se bahar na nikle to ye jism ke andar chote chote crystal ki shakal mein joron mein jama hone laga ha. Is ki waja se joint bekar ho jate hein aur mareez ka chalna phirna mushkil ho jata ha.
Uric Acid barhne ka taluq sirf ghair sehat bakhs foods khane se nahi ha balke Uric Acid depression aur heart disease hone ke bai's barh sakta ha. Uric Acid ko control karne ke liye chand habits ko tark karna parta ha aur few ghizai adaat ko apni roz mara zindagi mein shamil karna parta ha.

Uric Acid Barhne Ki Alamat:

Joron mein dard hona
Ganthay parna
Pair ke angootho mein soojan
Joron mein soojan

Precautions:

Uric Acid barhne par baray ka gosht kam kr dein.
Khane ko olive oil ke ilawa ghee ya deegar oil mein mat pakayen.
Kam fats wala doodh istemal karein.
Sharab aur tambakoo noshi hargiz na karein.
Omega 3 Fatty Acids ziyada istemal na karein.

Vinegar:

Sirka 1 natural cleanser aur detoxifier ha. Vinegar hamaray body se fazil mada jis mein uric acid shamil ha bahar nikalne mein madad karta ha balke is mein mojood uric acid ko tor par peshab ke zariye bahar nikalne mein madad karta ha. 1 glass pani mein 1 spoon khalis sirka hal kar ke peene se uric acid control hota ha. Ye solution 4 weeks tak din mein 2 times use karne se uric acid control hota ha.

Lemon:

Lemon vitamic C aur alkine se bharpoor hota ha. Lemon ka arq bazahir tezabi khusoosiyat rakhta ha lekin is mein mojood vitamic C uric acid ko fori control karta ha.
1 glass neem garam pani mein half lemon nichor kar peene se uric acid control hota ha. Is mehlool mein hasbe zaiqa honey ya sugar bhi milai ja sakti ha. Is solution ko sibah nihar moo 4 weeks tak peene se jald faida hota ha iske ilawa vitamic C lene ke liye Doctor ke mashwaray ke mutabiq Vitamic C supplement bhi liye ja sakte hein.

Green Tea:

Rozana raat khane ke baad green tea peene uric acid control hota ha aur ghatya ka dard nahi barhta.

Fiber:

University of Meriland Medical Center ke mutabiq aesay khane jin mein fiber ki quantity ziyada ho use karne se Uric Acid control hota ha, jese ispaghol, dalya, jo bajra, apple, orange, pineapple, strawberry, blueberry, cucumber, carrot aur banana. Ye wo foods hein jo constipation door karti hein jin ke khanay se peshab khul kar aata ha jis se Uric Acid ka ikhraj mumkin hota ha.

Vegetable Juice:

Aam tor par diabetes patients ka Uric Acid jald barha jata ha aur wo aesi ghiza nahi kha pane jis se Uric Acid control mein aata ha. Lehaza aesay mareez jo har phal aur vegetable nahi kha pata unhein daily 1 carrot aur 3 cucumber ka juice nikal kar peena chahiye. Is juice se sugar bhi control hogi aur Uric Acid bhi control hoga.

Cherry Aur Strawberry:

Cherry aur Strawberries Uric Acid ko crystal ki shakal banne se rokti ha kiyounke ye hi crystals joron mein jama hokar ghantiya ka dard paida karte hein.

Baking Soda:

Baking Soda jise Bicarbonate of Soda bhi kaha jata ha Uric Acid ko kam karne aur joron ka dard kam karne mein intahai mufeed hota ha. Baking Soda Uric Acid ko melt aur gurdon ke zariye nikalne mein madad karta ha. Half teaspoon baking soda 1 glass pani mein hal kar ke din mein 1 dafa piyen. High blood pressure aur 60 saal ki age se zaid afrad Doctor ke mashwaray se is totkay par amal karein.

Asan Totkay:

Khali pait 2 se 3 akhrot khane se high Uric Acid control hota ha.
Aloe Vera gel mein anolay ka rus mila kar peene se bhi Uric Acid ki ziyadti ke bai's hone wala joron ka dard door hota ha.
Coconut water Uric Acid ke level ko control karne mein bara asardar hota ha.
Khane ke baad 2 se 3 spoon Alsi ke beej chaba chaba kr khane se bhi Uric Acid control hota ha.
Agar Uric Acid barhne ghutne ka dard ho to bathoy ke leaves ka jo subah khali pait piyen aur 2 hours tak kuch na khayen piyen.
Khano mein ajwain ka use karein.
1 medium size ke kachay papeetay ke chotay chotay pieces kar ke beej alag kar lein in tukron ko 2 liter pani mein 5 se 7 minute tak pakayen is pani mein 1 spoon green tea ke leaves bhi daal dein. Pani din mein 2 se 3 baar tea ki tarah use karien.


2 comments:

  1. Hamara mada ma dard hota ha jasim sojan kar ta ha phar ke angoti ma sojan ha pato ma sojan ha zoban sofad ha plz kya waja ho sakura ha

    ReplyDelete