Salajeet Ke Fawaid Aur Asli Shilajit Ki Pehchan

Salajeet Ke Fawaid Aur Asli Shilajit Ki Pehchan

salajeet ke fawaid aur asli shilajit ki pehchan
salajeet ke fayde in urdu

Salajeet ke meaning pathar ki jan ke hein. Salajeet shumali Pakistan bilkhusoos chitral aur kalash ke paharon se nikalne wala 1 mada ha. Iska color siyahi mail chocolate ki tarah hota ha. Baaz paharon mein garmi ki shiddat ke bai's dararon ke andar se 1 qisam ki gond ki tarah ka mada kharij hokar jam jata ha.
Ye mada mountain ki dararon mein az khud banta ha, ye 1 solid mada hota ha jis mein namyati ingredients, nabatati fibers aur arzi ingredients paye jate hein. Salajeet aesay paharon se nikalti ha jin mein gold, chandi, silver, seesa aur lohay ki kanein hoti hein is liye iska colour mukhtalif hota ha. Is mein se gaye ke peshab jesi boo aati ha. Is ke mukhtalif naam hein.

Taseer:
Salajeet ka mizaj garam aur khushk hota ha.

Taste:
Is ka taste bitter hota ha.

Salajeet Ke Fayde:
Tib Unani mein is siyal mada ke kai fawaid bayan kiye gaye hein.
1. Bones ki weakness ka khatma
2. Jismani kamzori ka khatma
3. Dard ka khatma
4. Raan ke patho mein parne walay uzlati khinchao ka khatma
5. Pindli ke patho mein parne wale khinchao ka khatma
6. Legs mein parne wali soojan ka khatma.

No comments:

Post a Comment