Shehad Se Ilaj

Shehad Se Ilaj

shehad se ilaj

Qudrat ne shehad mein aesi taqat rakhi ha ke ye jaraseem ko khatam kar deta ha lekin aap ko jaan kar khushgawar herat hogi ke shehad ki 1 aesi qisam bhi ha jis ki waja se har tarah ke jaraseem fori tor par khatam ho jate hein.
European Journal Of Clinical Micro Biology And Infectious Diseases mein shaya hone walay 1 mazmoon mein bataya gaya ha ke "Moka Shehad" mein aesi khusoosiyat pai jati hein ke wo taqatwar tareen jaraseem ko fori tor par khatam kar deta ha.
Research mein scientist ye dekh kar dang reh gaye ke is shehad ne tezi ke sath germs ko khatam kiya. New Zealand mein paida hone walay shehad ko jhariyon ka shehad (Jelly Bush Honey) bhi kaha jata ha. Ye Australia mein bhi paida hota ha aur tajurbat mein dekha gaya ha ke khane ke ilawa agar ise zakhmo par barahe raast lagaya jaye to germs tezi se khatam hote hein.
Is shehad ki waja se jism ka mudafati nizam behtar tarike se kaam karta ha aur sath hi beemario ke hamle ko rokta ha. University Of Sydney ke Doctor Decorter ka kehna ha ke moka shehad mein aesay ingredients hote hein jo bacteria ko aanan fanan khatam kar dete hein.

No comments:

Post a Comment