Namaz Se Bari Bimari Ka Ilaj

Namaz Se Bari Bimari Ka Ilaj

Namaz se bari bimari ka ilaj


Namaz ki ahmiyat se sab waqif hongay Namaz jahan buray kamon se rokti ha wahan Namaz ki adaigi se bohat se takleefein door ho jati ha.
Ab maghribi mahireen ne bhi Namaz ke fawaid ko maan liya ha. Expert ka kehna ha ke haliya research ke baad ye baat samne aai ha ke Namaz ki adaigi na sirf kamar aur joron ke dard ko rokti ha balke ise door karne mein helpful bhi sabit hoti ha.
Tafseelat ke mutabiq kamar ke nichle hisse mein hone walay dard ko door bhagane ke liye Sajday ki halat bohat mozoon ha kiyounke is se hatheliyan zameen par mojood hoti hein aur ye zawiya kamar dard ko door bhagane mein helpful sabit hota ha.
Mahireen ne kamar dard ki wajoohat janne ke liye mushahida kiya jis mein inhon ne ye natija akhaz kiya ke kamar ke mareezo ko jhukte waqt takleef aur dabao ka samna hota ha aur jab Rukoo aur Sajday ki halat ko dekha to wo heran reh gaye aur kamar dard ka ilaj daryaft kar liya, mahireen ne faisla kiya ke Namaz ki adaigi ke doran insani jism mein jo harkat paida hoti ha wo kamar dard se chutkara hasil karne ke liye bohat moassar ha.

No comments:

Post a Comment