Giloy Ke Patte Ke Fayde Giloy Ke Fayde In Urdu

Giloy Ke Patte Ke Fayde Giloy Ke Fayde In Urdu

giloy ke patte ke fayde

giloy ke fayde in urdu
Agar aap hamesha sehat mand aur healthy rehna chahtte hein aur beemarion se apne body ko mehfooz banana chahte hein to is ke liye aap ko zyada mehnat ki zaroorat nahi bas ye 1 patta aap ko 80 saal tak beemar nahi hone dega. Zameen par 1 aesa plant bhi ha, jis ke patte ka agar aap musalsal use karte hein to 80 saal tak aap ko koi bhi beemari nahi lage gi.
Aur agar aap beemar hein to is patte ke use khansi se lekar cancer tak khatarnak disease ko khatam karne ki is mein herat angez ability mojood ha. Ye plant taqreeban har ilaqe mein hi paya jata ha, hum baat kar rahein hein giloy ki, giloy ki jar aur bail jitni mufeed ha giloy ke fayde ye bhi ha ke is ke leaves bhi hamari health ke liye hazar gunah behtar hote hein. Amooman dekhne mein aaya hai ke log giloy ki jar ko to use karte hein taham is ke leaves ko phenk dete hein.
Magar aap ye jaan kar heran reh jayengay ke giloy ke leaves mein aese fawaid paye jate hein jis zariye aap 80 saal tak healthy reh sakte hein. Giloy ke leaves several disease mein helpful ha.

Cancer Treatment From Giloy Leaves:
Cancer 1 khatarnak bimari ha giloy ke leaves ka istemal karne se cancer se nijat hasil ki ja sakti ha. Giloy leaves ka use insani jism mein cancer ke cells ko khatam kar deta ha jabke aainda ke liye cancer hone ke amkan ko bhi bilkul khatam kar deta ha. Agar aap cancer jesi severe disease se nijat hasil karna chahte hein early in the morning giloy leaves ka khali pait use karein, daily 1 ya 2 leaves cancer ke khilaf nihayat mufeed tasawur kiye jate hein.

Weight Loss From Giloy Leaves:
Motapa ko kam karta ha, motapay se pareshan afrad motapa se nijat hasil karne ke liye thaka dene wali exercise ke ilawa dieting bhi karte hein aur kuch log weight loss medicine bhi use karte hein jis ke side effects bhi hote hein magar phir bhi motapa se nijat hasil nahi kar sakte aur akhir mein phir wohi barha huwa pait aur faltu pait ki charbi moo chira rahi hotiha.
Agar motapay se pareshan afrad ab tak is masle par qaboo nahi pa sakte to inhein giloy leaves use karna chahiye joke weight loss ke liye bohat mufeed ha. Subah saweray giloy ke 2 leaves khali pait use karne se aap ke jism mein metabolism ka amal durust rehta ha aur jism mein mojood sakht se sakht charbi bhi pighalne lagti ha. Agar aap apna wazan kam karna chahte hein to phir giloy leaves ke use ke sath din mein 30 ya 40 minute exercise aap ka wazan tezi se kam karne mein madad day saktiha aur 1 month ke andar hi aap ke samne herat angez nataij dekhne ko milengay.

Heart Disease & Heart Attack Treatment From Giloy Leaves:
Heart patient ke liye giloy leaves ko bohat mufeed mana jata ha aur isi liye dil ke mareez ko Doctor hazrat giloy ki plant ki jar istemal karne ka mashwara dete hein. Is tarah karne se hamare body mein mojood cholesterol level kam krne mein madad milti ha aur dil mazboot rehta ha.

Blood Purification From Giloy Treatment:
Giloy leaves mein aese ingredients mojood hote hein aur giloy ke leaves istemal karne se ye 1 blood purifier ke tor par kaam karte hue hamare khoon mein mojood fazil mado bahar nikalte hein aur body mein fresh and healthy blood banate hein. Agar aap apne khoon ko saaf karna chahte hein ya aap ke jism mein khoon ki kami (Deficiency of blood) ha to aap giloy leaves ka istemal zaroor karein. Aesa karne se na sirf khoon mein fazil mado ki waja se chehre aur jism par paida hone walay acne khatam ho jayengay.

No comments:

Post a Comment