Har Bimari Se Nijat Ka Nabwi Wazifa

Har Bimari Se Nijat Ka Nabwi Wazifa

har bimari se nijat ka wazifa

Baghwi or Salbi ne Hazrat Abdullah Bin Masood (R.A) se riwayat kiya hai ke in ka guzar 1 aese beemar ke paas se huwa jo sakht amraz mein mubtala tha Hazrat Abdullah Bin Masood (R.A) ne is ke kaan mein Surah Mominoon ki chand Ayat parhi wo usi waqt theek ho gaya, Rasool Allah Peace Be Upon Him ne Hazrat Abdullah Bin Masood (R.A) se daryaft kiya ke aap ne uske kaan mein kiya prha tha? Hazrat Abdullah Bin Masood (R.A) ne arz kiya ke ye Ayaat parhi thi. Rasool Allah Peace Be Upon Him ne frmaya ke qasam hai Us Zaat Pak ki jis ke qabza qudrat mein meri jaan ha agr koi admi jo yaqeen rakhne wala ho ye ayatein pahar par parh de to pahar jaga se hat sakta hai.
Koi bhi Namazi Parherzgar shakhs 6 nawafil ada kar ke Surah Mominoon ki Ayat # 115-118 tak jis marz ke liye patient ke kaan mein 1 dafa parhe ga, Insha Allah mareez ko kamil shifa naseeb ho jaye gi.

2 comments: