Joron Ke Dard Ka Gharelu Ilaj

Joron Ke Dard Ka Gharelu Ilaj

joron ke dard ka gharelu ilaj
joint pain homemade remedies
joron ke dard ka totka

Methi ko ghee mein bhoon kar chotay chotay laddoo bana lein. 10 din subah o sham 1 1 laddoo kilane se faida hota ha.
80 gram pani mein sonth 10 gram mila kar boil kar lein. Is mein cheeni ya shehad mila kar mareez ko pilayen.
Chuqandar ka khana joron ke dard ka acha ilaj ha.
Piyaz ka rus or sarso ka tail hum wazan lekar dard wali jaga par senk karein.
Lehsan ko pees kar doodh mein boil kar ke mareez ko pilayen.
Daily lehsan ke tail ki malish karna mufeed ha.
Lehsan pees kar tilo ke tail mein mila kar khane se bohat ziyada faida hota ha.
Gajar, chuqandar or kakri ka rus mila kar pilana faida mand ha.
Agar ghutno ka dard ho to kachay aaloo pees kar lagane se ghutno ke soojan or jor mein kisi qisam ki beemari ho to jald aram milta ha.
Agar ghutno ka dard ho to kheera ziyada khane se ghutno ka dard door ho jata ha. Agar 1 tari lehsan bhi kha liya karein to faida hoga.

No comments:

Post a Comment