Roghane Badam Ke Fawaid

Roghane Badam Ke Fawaid

roghane badam ke fawaid
roghan e badam benefits
badam oil ke faide

Badam ke tail ko agar face par use kiya jaye to rangat nikharta ha or chamak paida karta ha
Chehre or jild ko qudrati tor par sehatmand or khoobsurat banata ha.
Badam ka tail jild ke dead skin cells ko khatam karta ha.
Badam ka tail use karne se eczema, chanbal or keel muhaso se nijat milti ha.
Roghane badam use karne se sooraj ki suaon ke nuqsanat se bacha ja sakta ha.
Honton par daily massage kar ke sonay se honto ki khushki khatam hoti ha or honto par chamak or gulabi rangat aati ha.
Balon par iska rozana use balon ko lamba or sehatmand karta ha.
Palko par badam ka tail daily laga kar sonay se palkein lambi or ghani ho jayengi.
Roghan e badam se agar chotay bachon ki jismani malish ki jaye to jild naram or sehatmand rehti ha or haddio mein mazbooti aati ha.
Pattho ke dard or khichao ke liye 1 khanay ka chammach badam ka tail thora sa garam kar ke mutasira hisse ki malish karein.
Blood pressure ko normal rakhta ha cholesterol kam karta ha. (Rozana 1 teaspoon almond oil neem garam doodh mein daal kar piyen).


No comments:

Post a Comment