Sharbate Gulab Banane Ka Tarika Or Is Ke Fawaid

Sharbate Gulab Banane Ka Tarika Or Is Ke Fawaid

sharbate gulab banane ka tarika or is ke fawaid
sharbat-e-gulab recipe
sharbat-e-gulab ke fawaid
health benefits of sharbate gulab

Ingredients:
Gulab Ki Pattiya    1 Pao
Sugar               1 Pao
Water               2 Liter
Arqe Gulab          Half Piyali

Method:
2 liter water ko pateeli mein daal kar us mein gulab ki pattiya daal kar us ko itna pakayen ki gulab ki pattiyan apna color chor day phir is may sugar add kar ke is ko itna pakayengay ke pani 1.5 liter reh jaye phir pani ko chhaan kar gulab ki pattiyan phenk dein or arqe gulab add kar ke 5 minute or pakayen, sharbate gulab tayyar ha.

Sharbate Gulab Ke Fawaid
1. Qabz ko khatam karne ke liye behtareen mashroob ha.
2. Garmio mein is ko regular use karein rooh ko taskeen deta ha.
3. Skin ko fresh rakhta ha.
4. Jigar, mede or masanay ki garmi ko door karta ha.
5. Garam mizaj walay logon ke liye behtareen mashroob ha.

Note: Gulab ka mizaaj sard khushk ha to is liye is ko sardio mein hargiz use na karein is se aap ki body mein pain ho sakta ha.  

2 comments:

  1. Bahi ya peena kasy ha matlab kitna peena ak din may

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sardi mein to isko hargiz na piyen.
      Garmi ke mosam mein 1 cup daily pee lein aur face par iska spray bhi kar sakte hein.

      Delete