Riyakari Ki Tabah Kariaan

Riyakari Ki Tabah Kariaan

riyakari ki tabah kariyan

Shaitan ye chahta hai k Insan jo bhi naik amal kare khuwah wo Namaz, Hajj, Zakat, Naiki ka hukum or burai se mana karta wo sab zaya ho jayen. Is maqsad ke liye wo Insan ke dil mein ye khayal dalta hai k mein ne kitna acha kaam kya hai. Log mujh se bohat mutasir hue hein. Agar wo achi ibadat karta hai, misaal ke tor par khusoo khuzoo se Namaz parhta hai to yeh khayal aa jata hai ke log mujhay bohat naik samajhtay hein. wo dil hi dil mein khush hota hai or log is ki tareefein bhi kar detay hein goya ke is ka maqsad or niyat yehi riya kari hai. Kisi bhi naik kaam ke liye khalis  niyat ka hona sab se zaroori hai warna aemaal zaya or barbad ho jatay hein.
Hazrat Abu Hurera (R.A) bayan kartay hein ke Rasool Allah (P.B.U.H) ne 3 ashkhaas ko riya kari ki waja si jahannumi qarar diya. In mein pehla shaheed, doosra Aalim-e-Deen or teesra maal dar hai. Ye sab log riyakari ki waja se jahannum mein jayen gay. (Muslim)
Nabi Kareem (P.B.U.H) ne farmaya, jis ne aesa ilm k jis se Allah ki raza mandi chahi jati hai, is liye hasil kiya take is si koi dunyawi gharz (Riyakari) pale to wo Jannat ki khushboo na paye ga. (Abu Dawood)
1 Hadees mein Rasool Allah (P.B.U.H) ne is ko chupa shirk qarar diya hai. Ye 1 aesi beemari hai jo oonchay darjay walay amal yani Jahad mein shahadat pane walay shakhs ko bhi jahannum mein le jane ka ba'is banti hai.
Riyakari insan ko apni soch or khayal se taluq rakhti hai. Jis tarah ki soch or  niyat hogi, is ke mutabiq is ka ajar mile ga. Log is ki tareef karein ya na karein magar jo log achay or bhalai ke kaam karte hein, in ki beher haal tareef ki jati hai or agar koi kisi ki achay or naik amal ki waja se is ki tareef karta hai to ye is liye 1 tarah ki khushkhabri hai bashart ye k is ki niyat logon se us kaam ki tareef sunna na ho.

1 comment: