Deen K Kaam Mein Rukawatein Door Karne Ki Dua

Deen K Kaam Mein Rukawatein Door Karne Ki Dua

deen ke kaam mein rukawatein door karne ki dua
Ae Allah! Aasmano or zameen ke banane walay posheeda or zahiri sab kuch jannay walay to hi apnay bando mein in baton ka faisla karega jin mein wo ikhtilaf kartay rahay hein..

Yeh Dua Allah Azzawojal ne Rasool Allah (P.B.U.H) ko aesay moqay par parhnay ke liye sikhai jab log haq baat na sunein or na haq jhagray kiye jayen.

Bakhshish Talab Karnay Ki Dua

Bakhshish Talab Karnay Ki Dua

bakhshish talab karne ki dua
A hamare Rab! Hum ne gunah kar ke apne aap par bohat zulm kiya hai or agar tu ne hamein maaf na kiya or hum par Reham na kiya to hum zaroor khasara pane walo mein se ho jayen gay. (Surah Al A'raf 23)

Is Dua ke zariye Hazrat Adam (A.S) or Hazrat Hawwa (A.S) ne apni ghalti ka iqrar or nidamat ka izhar kiya tha or yeh Dua khud Allah Ta'la ne in ko sikhai thi.

Shaheed Ki Fazilat

Shaheed Ki Fazeelat

shaheed ki fazilat
Rasool Allah (P.B.U.H) ne 1 din farmaya ke aaj shab mein ne 2 aadmiyo ko khuwab mein dekha wo meray paas aaye or mujhay darakht par charha lay gaye phir unhon ne 1 ghar mein jo nihayat umda or afzal tha or mein is se umda makan kabhi nahi dekha mujhay dakhil kiya or in dono aadmiyo ne mujh se kaha ke yeh Shohada ka makan hai. (Sahih Bukhari)