Samundri Jhag Ke Fayde For Skin

Samundri Jhag Ke Fayde For Skin

Samundri Jhag Ke Fayde For Skin
Kaf darya aur zaid ul bahar ka naam shayad hi kisi ne suna hoga albatta jin logon ne samundar ko qareeb se dekh rakha ha wo iski tez mojon se uthne wali jhaag ko lazman jante hongay, ye jhag hi kaf darya aur zaid ul bahar kehlati ha.
Ye baat yaqeen se nahi kahi ja sakti ke is jhag ko dekhne walay yi bhi jante hongay ke ye samnudari jhaag dar haqeeqat bari nayab cheez ha, jo medicines mein istemal ki jati ha, iska powder bana kar is ko aate mein khameer ke liye bhi istemal kiya jata rha ha. Aam raye ha ke ye 1 behri janwar ki reerh ki haddi ha jo kuch arsa k baad khas shakal ikhtiyar kar leti ha.
Iska rang safed jaal dar aur zaiqa pheeka hota ha. Atba ka kehna ha ke samundari jhag aese afrad ke liye faida mand ha jin ke chehre par siyah dhabbe aur jhaiyan ho. Iske powder ko ubtan mein shamil kar ke chehre par lagaya jaye to chehra in daag dhabbo se pak ho jayega. Taham tibbi tehqeeq ka daira is se bhi aagay barh chuka ha.
Muhaqqiqeen ka kehna ha ke samundari jhag ke powder ko sab se pehle Gold Smith company ne chehre ko polish karne ke liye istemal kiya tha, baad azan ye tooth paste mein bhi istemal kiya jane laga jis se iski afadiyat khul kar samne aa gai. Isko anti acid ke tor par bhi kafi ahem jana gaya jis ke baad tibbi mahireen ne samundri jhag ko chehre ki safai ke liye istemal kar ke liye mufeed gardana ha.

No comments:

Post a Comment