Health Benefits Of Radish

Health Benefits Of Radish

Radish is most commonly used by people in making salads, but there are wonderful medical benefits that we are probably unaware of.
1. Radish also has plenty of iron along with phosphorus, calcium and vitamin C.
2. Radish is a useful vegetable for the disease of stone, its diet relieves patients with stone disease.
3. Radish is also a very useful vegetable for patients with hemorrhoids. If you feed a hemorrhoid patient on a daily basis, it can be relieved.
4. Patients suffering from jaundice, remove the juice of radish leaves and mix it with sugar and drink it soon the jaundice will end.
5. Radish is also a means of healing for patients with liver and spleen, while radish is also very useful for patients with urinary tract diseases.

Muli Ke Fayde

Muli Ke Fayde

Muli ko ziyadar tar log salad banane ke doran istemal karte hein lekin is ke intahai herat angez tibbi fawaid hein shayad jin se hum ab tak la ilm thay, wo fawaid darj zel hein.
1. Mooli phosphorous, calcium aur vitamin c ke sath iron ki bhi kafi miqdar pai jati hai.
2. Moli pathri ke marz ke liye 1 mufeed sabzi ha is ke khane se pathri ke marz mein mubtala mareezo ko afaqa hota ha, is ke rozana khane se pathri ghul kar reza reza hokar peshab ke zariye nikal jati ha.
3. Muli bawaseer ke marz mein bhi mubtala mareezo ke liye intahai karamad sabzi ha, bawaseer ke marz mein mubtala mareez ko muli ka rus rozana ki bunyad par pilayen to is beemari se chutkara hasil kiya ja sakta ha.
4. Yarqan ke marz mein mubtala mareezo ko muli ke patto ka juice nikal kar is mein cheeni mila kar pilayen to bohat jald yarqan ka khatma ho jayega.
5. Muli jigar aur tilli ke marz mein bhi mubtala mareezo ke afaqay ka 1 zariya ha jabke peshab ke marz mein bhi mubtala mareezo ke liye intaha mufeed ha.

No comments:

Post a Comment