Ajwain Water For Weight Loss

Ajwain Water For Weight Loss

You may have heard many tips and tricks for losing weight but certainly not familiar with the natural and simple prescription called the magical combination of weight loss. The main reason for this is that we often pay close attention to expensive and difficult-to-find prescriptions, but do not consider the cheap and readily available.
According to the website "Speaking Tree", celery water can lose 6kg in just two weeks. It is also very easy to prepare and use. Soak a spoon of celery in water at night, boil it in the morning and then strain the celery and drink the remaining water.
Drink celery (Ajwain) water on an empty stomach and do not eat after about an hour. After that you can eat a regular meal. If you want more good results, you can drink this water an hour before each meal.
One of the main reasons for the success of this natural recipe is the qualities of celery that can hardly be found in anything else. Nature has made it a very powerful tank for constipation and system disorders. Its water cleanses your gut, eliminates constipation and regulates the system. As a result, the food is well digested, relieves constipation and diarrhea, and eliminates excess fat, especially around the stomach.

Vajan Kam Karne Ka Tarika

vajan kam karne ka tarika

Wazan kam karne ke liye aap ne kai tarkeebien aur mashwaray sune hongay lekin yaqeenan is qudrati aur sada tareen nuskhe se waqif nahi hongay jise wazan mein kami ki jadooi tarkeeb kaha jaye to ghalat na hoga. Bunyadi tor par is se na waqfiyat ki waja bhi yehi ha ke hum log aksar mehengay aur mushkil se milne walay nuskho ko ziyada tawajja dete hein lekin sasti aur asani se dastiyab cheezon ko qabil tawajja nahi samajhte.
Website Speaking Tree ki report ke mutabiq ajwain ke pani se mehez 2 hafte mein 6 kg weight kam kiya ja sakta ha. Iski tayyari aur istemal bhi bohat hi asan ha. Raat ke waqt 1 spoon ajwain ko pani mein bhigo kar rakh dein, subah ise boil kar lein aur phir ise chhan kar ajwain ko alehda kar dein aur baqi rehne walay pani ko pee lein.
Ajwain ka pani khali pait piyen aur iske taqreeban 1 hour baad kuch na khayen. Is ke baad aap mamool ka khana kha sakte hein. Agar aap mazeed achay nataij chahte hein to har khane se 1 hour qabal is pani ko pee sakte hein. Is qudrati nuskhe ki kamyabi ki sab se bari waja ajwain ki wo khoobyan hein jo shayad hi kisi aur cheez mein mil sakein. Qudrat ne ise qabz aur nizam e inehzam ki kharabiyon ke liye intahai taqatwar tonic banaya ha. Iske pani aap ke stomach ko saaf kar deta ha. Qabz ka khatma karta ha aur nizam e inehzam ko durust kar deta ha. Is ke natije mein khuraak achi tarah hazam hoti ha, qabz aur apharay se nijat mil jati ha aur khusoosiyat pait ke ird gird jama fazil charbi khatam ho jati ha.

No comments:

Post a Comment