Munh Se Badbu Aana


munh se badbu aana

munh se badbu aana


Munh se badbu aana aam se baat hai lekin is badbu ke bai's insaan ko bohat sharmindagi ka samna karna parta hai. Munh se aane wali badbu aap ki shakhsiyat par bohat manfi asraat murattab karti hai aur log aap se mukhatib hone ki bajaye aap se doori ikhtiyar kara pasand karte hein.
Lekin aap asan gharelu totke istemal kar ke munh ki badbu se nijat hasil kar sakte hein. Munh ki badbu ki bohat si wajoohat ho sakti hein. Lekin ab aap asan gharelu tarike istemal kar ke munh ki badbu se nijat hasil kar sakte hein aur apne aap ko sharmindagi se nijat dilwa sakte hein.

1. Munh se badbu aane ki 1 bari waja munh ki khushki ho sakti hai. Agar aap ka munh dry ho jaye to munh se bu aatihai. Aap ko chahiye ke pani ka wafir istemal karein takay munh khushk na ho aur munh se bu bhi na aaye.

2. Danto ki safai na sirf danto ko khoobsurat banati hai balke har khane ke baad danto ko brush karne se munh se aane wali na khushgawar badbooo se nijat hasil ki ja sakti hai. Doctors ke mutabiq taqreeban 2 dafa din mein danto ki safai karni chahye.

3. Dahi ka regular use insan ko chak o choband aur sehatmand rakhne mein bohat ahem kirdar ada karta hai. Sath hi sath dahi khane se munh mein mojood khatarnaak bacteria khatam ho jate hein. Jis ki bai's munh se aane wali badbu se nijat hasil ki ja sakti hai.

4. Agar aap sehatmand rahna chahte hein to zyada se zyada fruits ka istemal karein. Phalon ke besh baha fawaid hein phalon ka istemal aap ko na sirf sehatmand rakhta hai balke bohat si beemario se nijat ka sabab bhi banta hai. Phalon mein mojood acid munh ko badbu se bachata hai.

5. Long, ilaichi, sonf aur bubble waghera hamesha apne paas rakhein takay jab bhi kuch khayen ya ye mehsoos karein ke aap ke munh se badbu aa rahi hai to fori in cheezo ka istemal aap ke munh se aane wali badboo ko ghaib kar dega.

How To Get Rid Of Bad Breathe Naturally


Smells are very common in the mouth, but due to this smell, humans are very embarrassed. The odor that comes from the mouth can have a very negative effect on your personality and people like to walk away from you instead of addressing you.
But you can get rid of mouth odor by using simple household tips. There can be many causes for mouth odor. But now you can get rid of the odor of mouth using simple home remedies and save yourself from embarrassment.
1. Dryness of mouth can be one of the main reasons for bad breath. You should use water frequently so that the mouth is not dry and the mouth does not smell.
2. Dental hygiene not only makes the teeth beautiful, but brushing your teeth after each meal can help relieve the unpleasant odor that comes from the mouth. According to doctors, dental hygiene should be done almost twice a day.
3. Regular use of yogurt plays a vital role in keeping a person motivated and healthy. Simultaneous eating of yogurt eliminates dangerous bacteria in the mouth. One can get rid of the odor coming from the mouth.
4. If you want to stay healthy, use as much fruit as possible. Fruits have many benefits, using fruits not only keeps you healthy but also helps you to get rid of many diseases. Acid in fruits protects the mouth from odor.
5. Always keep cloves, cardamom, fennel, and bubbles, etc. so that whenever you eat something or feel your mouth smells, the use of these items immediately will make the smell of your mouth disappear.

No comments:

Post a Comment