Surah Kausar Wazifa

Surah Kausar Wazifa

surah kausar wazifa

Nazireen aaj ka wazifa Surah Kausar ka wazifa ha jo ke aap har maqsad mein kamyabi ke liye kar sake hein. Agar aap ki shadi nahi ho rahi to aap ye Wazifa apni shadi ke liye kar sakte hein Insha Allah aap ko is mein kamyabi milegi. Agar aap jobless hein aur aap ko koi kaam nahi mil raha to aap is ke liye bhi ye Wazifa kar sakte hein. Agar aap ke dushman hein jo aap ko nuqsan pohanchte hein to un se chutkara pane ke liye bhi aap ye Wazifa kar sakte hein. Aap ki koi bhi hajat ho aap ka koi bhi maqsad ho aap is Wazife ke zariye apna maqsad poora kar sakte hein aap ne sirf 3 din is Wazife ko karna ha aur Insha Allah 3 din ke andar andar aap ka har maqsad poora ho jayega.
Wazifa aap ne kuch is tarah karna ha ke awal o akhir 1, 1 martaba Durood Shareef parhein Durood Shareef aap koi sa bhi parh sakte hein aur darmiyan mein 129 martaba Surah Kausar parhein. Amal aap ne jumerat ke din se shru karna ha aur hafte ke din khatam karna hai. Wazifa aap Fajar ki namaz ke baad ya Asar ki Namaz ke baad ya Isha ki Namaz ke baad karein. Jis routine se aap 1st day karein usi routine se teesre din tak karein. Yani agar aap ne jumerat ko Wazifa Fajar ki Namaz ke baad kiya ha to Jumme aur hafte ke din bhi Fajar ki Namaz ke baad karein.
Insha Allah is Wazife ko karne ke baad aap ki Allah se mangi har dua qabool hogi. Is amal ki ijazat aam hai.

No comments:

Post a Comment