Ubtan Banane Ka Tarika

Ubtan Banane Ka Tarika

ubtan banane ka tarika
Shadi ho aur dulhan ko ubtan na lage amooman aesa hota nahi. Shadi se pehle mayoun ki rasam aur shadi tak dulhan ke ubtan malna zaroori samjha jata ha. Lekin aaj kal ubtan ke istemal se skin par danay aur deegar skin allergy ke khatrat bhi barh gaye hein. Shadi ke moqa par aesay khatraat bari pareshani ka bai's bante hein. Lehaza agar aap ke ghar mein shadi hone wali ha to bazar se bane banay ubtan lene ke bajaye thori se mehnat karein aur ubtan khud ghar par tayyar karein.

Bridal Ubtan Banane Ka Tarika:

Besan 4 khane ke chammach   Multani mitti 1 spoon
Sandal ka burada 10 gram    Husn e Yousuf 10 gram
Aakash bel 10 gram          Haldi 1 chammach
Gul anar 10 gram            Gulab ki pattiyan sookhi hui 10 gram
Roghan e khas 1 tola
Tamam ingredients lekar achi tarah bareek pees kar mukammal kar lein. Istemal se pehle zaroorat ke mutabiq lein aur 2 drops lemon juice, 1, 1 spoon milk, honey, balai aur half spoon glycerine mila kar zaroorat ke mutabiq arq e gulab mila kar paste banayen aur apply karein. Is ubtan ko pooray body par mal sakte hein. Ye tamam ingredients aap ko kisi pansar ke paas aram se mil jayengay. Haldi bhi aap sabut lein aur khud mein pees lein. Jild par kabhi bhi kitchen mein mojood bazar ki peesi hui haldi use na karein.
Amooman ubtan mein chanbeli ka tail shamil kiya jata ha. Bazar mein milne wala chanbeli ka tail essence ke ilawa kuch nahi ha. Is ke liye aap chanbeli ke phool kisi bhi tail chahe coconut oil ho us mein daal kar rakh lein. Is tail mein chanbeli ki khushboo aa jayegi. Aap wo tail ubtan mein istemal kar sakti hein. Ubtan lagane ke baad agar wo sookh jaye to usay ragar ragar kar na utarein warna skin kharab ho jayegi. Hath geela karein chahe pani, arq e gulab ya doodh se phir is se ahista ahista circular motion mein malte hue utarein.

No comments:

Post a Comment