Common Symptoms Of Stroke

Common Symptoms Of Stroke

falij ki alamat
falij ki alamat


Paralysis is a disease during which the brain is damaged and any part of the body becomes paralyzed and the effects can be minimized if all the treatments are available on time. Understands other medical issues and delays treatment. With each passing minute of the stroke, the brain is losing about 1 million cells, and if not available for one hour, the brain is aging for three and a half years. The longer the delay in receiving treatment, the greater the risk of problems such as speech difficulties, memory loss and behavioral changes.
The sooner the stroke is diagnosed, the more effectively it is treated and the less likely it is to damage the brain. There are two types of paralysis: blood vessels are blocked in one, resulting in a decrease in blood supply to the brain, the other is a type of blood in which the blood vessels in the brain starts to drain.
The symptoms of these two types of paralysis are the same and everyone needs to be aware of them. Experts say these warning signs of paralysis begin to appear a week before the original visit. Visual symptoms such as blindness, blurred vision or vision loss from one eye can be symptoms of paralysis, but most people recognize these symptoms as a result of aging or fatigue.
According to clinicians, it is not possible to see one thing with tired or too much study, in fact a block of blood reduces the amount of oxygen required to the artery eyes, making one thing visible.
If you wake up in the morning or wake up in the afternoon with some sleep and your hands or feet are numb, it can easily be imagined that this is the result of nerve damage. However, medical experts say that if your hand suddenly becomes numb or weak, it should be contacted for immediate medical attention if the condition does not go away within a few minutes.
Some medications such as painkillers suffer from difficulty or difficulty in speaking after use and people think this is the effect of their medication but it may also be a symptom of stroke.
When people have difficulty choosing the right words or thinking carefully about something, they often attribute it to exhaustion. But sudden brain damage is one of the common symptoms of stroke. According to medical experts, for a moment, anyone may have difficulty thinking, but if their duration increases, it is a cause for concern.
Clinicians say that even half a headache or a stroke in a migraine can be hidden because the symptoms are similar in both disorders. Experts say those with half-headache should treat it like a stroke and seek medical help.


Falij Ki Alamat:

Falij aesa marz ha jis ke doran dimagh ko nuqsan pohanchta ha aur jism ka koi hissa maflooj ho jata ha aur munasib ilaj barwaqt mil jaye to is ke asraat ko kam se kam kiya ja sakta ha taham aksar log is jan lewa marz ki alamat ko deegar tibbi masail samakh lete hein aur ilaj mein takheer ho jati ha. Paralysis Attack ke baad har guzarte minute ke sath dimagh 1900000 cells se mehrom ho raha hota ha aur 1 hour tak ilaj ki sahoolat mayassar na aane ki soorat mein dimaghi umar mein 3.5 year ka izafa ho jata ha. Ilaj milne mein jitni takheer hogi itna hi bolne mein mushkilat, yaddasht se mehroomi aur rawayye mein tabdeelio jese masail ka khatra barh jayega.
Falij ko jitna jald pakar liya jaye itna hi is ka ilaj ziyada moassar tarike se ho pata ha aur dimagh ko hone wala nuqsan itna hi kam hota ha. Falij ki 2 aqsaam ha 1 mein khoon ki ragein block ho jane ke natije mein dimagh ko khoon ki farahmi mein kami hoti ha, doosri qisam aesi hoti ha jis mein kisi khoon ki sharyan se dimagh mein khoon kharij hone lagta ha.
In dono types ke falij ki alamat yaksan hoti ha aur har fard ke liye in se waqfiyat zaroori ha. Tibbi mahireen ka kehna ha ke ke falij ki ye antabahi nishaniya asal doray se 1 hafta qabal hi samne aane lagti hein. 1 ki jaga 2 cheezein nazar aana jesay koi 1 cheez 2 nazar aana, dhundlapan ya kisi 1 aankh ki beenai se mehroomi falij ki alamat ho sakte hein magar beshtar afrad in alamat ko burhapay ya thakawat ka natija samajh lete hein.
Tibbi mahireen ke mutabiq thakawat ya bohat ziyada study se 1 cheez 2 nazar aana bilkul mumkin nahi, dar haqeeqat khoon ki 1 block sharyan aankhon ko darkar oxygen ki miqdar ko kam kar deti ha jis ki waja se 1 cheez 2 nazar aati ha.
Agar aap subah sokar uth'te hein ya dopehar ko kuch dair ki neend lekar uth'te hein aur aap ke hath ya per sun ya be his ho rahe ho to asani se tasawur kiya ja sakta ha ke ye aesaab dab jane ka natija ha. Taham tibbi mahireen ka kehna ha ke agar aap ka hath achanak behis ya kamzor ho jaye to ye kefiyat chand minutes mein door na ho to fori imdad ke liye rabta karna chahiye.
Kuch medicines jesay pain killer ke istemal ke baad bolne mein haklahat ya mushkilat ka samna hota ha aur log sochte hein ye in ki dawa ka asar ha magar ye falij ki alamat bhi ho sakta ha.
Jab logon ko correct word ki selection ya kisi cheez ke baray mein poori tawajja se sochne mein mushkilat ka samna hota ho to aksar wo ise thakan ka natija qarar dete hein. Magar achanak dimaghi ability mein kami falij ki aam alamat mein se 1 ha. Tibbi mahireen ke mutabiq 1 lamhe ke liye to sochne mein mushkil ka samna kisi bhi fard ko ho sakta ha magar is ka doraniya agar barch jaye to ye bai's e tashweesh ha.
Tibbi mahireen batate hein ke aadhay sar ke dard ya migraine mein falij bhi chupa ho sakta ha kiyounke in dono amraz mein dimaghi alamat 1 jesi hi hoti hein. Expert ke baqol migraine ke shikar afrad ko is ka ilaj falij ki tarah hi karana chahiye aur Doctors se madad leni chahiye.

No comments:

Post a Comment