Nafarman Aulad Ka Wazifa

Nafarman Aulad Ka Wazifa

nafarman aulad ka wazifa
Aulad 1 bohat bari naimat hai. Jin ki aulad nahi hoti wo tarah tarah ke jatan karte hein aur agar aulad rahe rast par na ho yani nafarman ho aur bar waqt islah ki koshish na ki jaye to aesi aulad zindagi bhar ka rog ban jati hai. Waldain ke hukum ki takmeel na karne wali aulad ke ranj se acha bhala insaan pareshan hokar bohat se ghalat iqdamat uthata hai.
Baaz dafa kam taleem yafta aulad ya jin ki sohbat achi na ho wo jaraim mein mulawwis ho jati ha aur nasha bhi karne lagti ha aur jab banda nasha karne lag jaye to ise kisi achay buray ki tameez nahi rehti kiyounke nasha har burai ki jar ha. Is nashai aulad ki waja se ghar ka sukoon barbad ho jata hai kiyounke aesi aulad khud to koi kaam karti nahi hai ulta waldain aur ghar walon par bojh ban jati ha. Bohat se waldain aesi aulad ke hathon maray bhi jate hein.
Lekin kai sorrton mein parhi likhi aulad ke hathon waldain ko takleef uthani parti hai. Ye kitne afsos aur sharam ki baat hai ke wo waldain jinhon ne paal pos kar apnay moo ka luqma aulad ke moo mein daal kar ise pala hota ha wohi un ke burhapay ka sahara nahi ban pati. Waldain ko chahiye ke wo khud aesay halaat paida na hone dein, agar aulad mein gustakhi aur nafarmani ka rawayya dekhein to fori Allah se rujoo karein aur ye amal shru karein.
Nazireen amal aap ne is tarah karna ha baad Namaze Isha awal o akhir 1, 1 baar Darood Shareef aur darmiyan mein 4100 baar ism mubarak Ya Nafi'u 21 din tak parhein aur pani par dam kar ke bchay ko pilayen aur Allah ke huzoor uske rahe rast par aane ki dua karein.

No comments:

Post a Comment