Arthritis Ka Ilaj In Urdu

Arthritis Ka Ilaj In Urdu

arthritis ka ilaj in urdu

Joron ka dard 1 aam marz ha jis ki kai aqsam hein. Ghatya mein badan ke mukhtalif joron par sozish ho jati ha aur is ka dard shadeed ho sakta hai. Ye marz taweel arsay tak mareez ko shadeed takleef mein mubtala rakhta hai. Tibbi mahireen ke mutabiq gathiya ka marz mard, khawateen aur bacho ko kisi bhi umar mein apna shikar bana sakta hai. Agr ibtadai marahil mein is marz ki tashkhees kar li jaye to na sirf asani se is par qaboo paya ja sakta hai balke deegar aeza ko bhi mazeed nuqsan se bachaya ja sakta hai. Tibbi mahireen ke mutabiq is se nijat ke liye sab se asan tarkeeb joron ko harkat mein rakhna hai.
Asan exercise is bimari mein mufeed sabit ho sakti hein.
Green tea mein mojood anti oxidants soojan mein kami lane ki salahiyat rakhte hein. Jis se pathon mein aane wali tor phor aur dard mein numaya kami aati hai.
Mahireen ke mutabiq haldi ka istemal bhi joron ke dard ki takleef aur swelling mein kami lata hai. Haldi ka half teaspoon doodh mein mila kr daily piyen.
Calcium se bani cheezon ka istemal barha dein. Doodh, gobhi aur green leaves wali vegetables calcium ke husool ka behtareen zariya hein.
Haddiyo aur joron ki takleef ki 1 bari waja jism mein Vitamin # ki bhi kami hai. Is ke husool ka sab se asan tarika daily 10 se 15 minute dhoop mein bethna ha.

No comments:

Post a Comment