Lehsan Se Wazan Kam Karne Ka Tarika

Lehsan Se Wazan Kam Karne Ka Tarika

lehsan se wazan kam karne ka tarika

Lehsan ko khano ke lazeez banane ke liye use kiya jata ha lekin is ke deegar fawaid mein sab se bara faida is ke zariye weight kam karna ha is ki waja se na sirf blood pressure control kiya ja sakta ha balke is ki madad se cholesterol kam hota ha aur sath hi heart diseases khatam hoti hein. Is ki madad se aap ka mudafati nizam behtar tarike se kaam karega, jism se zehrilay maday niklengay, piyaz aur lehsan ko mila kar istemal kiya jaye to chemotherapy se hone walay nuqsanat ko kam kiya sakta ha.
Health expert ka kehna ha ke agar aap lehsan ko bharpoor faida uthana chahte hein to ise kacha khayen kiyounke pakane se is ke fawaid kam ho jate hein. Is mein mojood allicin pakne ki waja se kam ho jati ha lehaza kacha istemal karein.
Lehsan ko pees kar ise 15 minute tak para rehne dein aesa karne se lehsan mein mojood allicin behtar tarike se kaam kar sakegi ab lehsan khane ka ziyada faida hoga, ise khali pait subah ke waqt khane se bohat ziyada faida hoga.
2 se 3 lehsan ki pieces pees kar is mein 1 spoon honey add karein. Har subah ise khane se aap ke body mein bharpoor energy aane ke sath sath aap ka weight bhi kam hoga aur aap apne aap ko healthy bhi mehsoos karengay.

No comments:

Post a Comment