How To Lose Weight Using Your MIND

How To Lose Weight Using Your MIND

how to lose weight using your mind
Weight kam karna joye sher lane ke mutaradif ha. Baaz auqat kari exercise aur sakht dieting bhi be sood ho jati ha, lekin ab scientist ne new research ke baad motapa kam karne ka aesa asan nuskha bata diya ha ke admi dam bakhud reh jaye.
Mail online ke mutabiq scientist ka kehna ha ke jo log motapay se nijat pane ke liye dieting aur exercise kar rahe hein unhein chahiye ke wo is ke sath sath apnay aap ke baray mein ye sochna shru kar dein ke wo waqai dublay patle hote jarahe hein. Is se un ke weight mein 10 guna ziyada tezi ke sath kami waqai hona shru ho jayegi.
England ki Portsmouth University ke scientist ne is research mein motapay ke shikar 141 afrad par tajurbat kiye. Scientist ne inhein 2 groups mein divide kiya aur phir in dono ko 1 diet plan diya. Sath hi 1 group ko ye hidayat ki ke wo musalsal apnay baray mein sochein ke wo dublay ho rahe hein. 1 saal baad dono groups ke motapay ka doobara inspect kiya gaya ho apnay baray mein ye baat sochne walay group ke wazan mein 6.3 kg kami waqae ho chuki thi jabke in ki kamar 9 cm kam ho gai thi.
In ke baraks doosre group ke afrad ke weight mein sirf half kg se kuch zaid kami huui thi aur in ki kamar bhi sirf 0.24 cm kam hui thi, jo ke pehle group ke afrad ki nisbat 10 guna se ziyada kam thi. Tehqeeqati team ki sarbarah Doctor Lunda Solbreg ka kehna tha ke khud ke mutaliq duble patle hone ke baray mein sochne walay afrad ko hum ne functional Imagery Training di jis ke zariye log soch sakte hein ke agar wo apni manzil pa lein to wo kesa mehsoos karengay. Ye technic motapay mein kami ke liye hinahi balke munshiyat ki adat se nijat pane ke liye bhi faidamand sabit ho sakti ha.

No comments:

Post a Comment