Weight Loss Diet Plan In Urdu
Breakfast mein 1 khas juzz ka ziyada miqdar tond ki charbi ko tezi se pighlane mein madad deta ha. Ji haan protein se bharpoor breakfast tond ki charbi ko pighlane mein madad deta ha.
Protein jism ke mukhtalif jese jismani nasho numa, muscles ki murammat, tissues ko jorne aur jild ki sehat ke liye bohat ahem ha magar is ke sath sath ye jismani weight ke lye bhi ahem kirdar ada karta ha. Protein ke ziyada use se body mein bhook kam karne walay hormones lovel barhti ha jabke bhook barhane walay hormones ka level kam hota ha.
Yehi waja se ke dunya bhar health expert logon ko jismani wazan se nijat ke liye protein ke ziyada istemal ka mashwara dete hein aur tashme mein egg khane ki adat protein ke husool ka behtareen zariya sabit ho sakti ha. 100 gram boiled egg mein 13 gram protein hota ha jo ke roz mara ke liye darkar protein ka 26% hissa hota ha.
Mahireen ke mutabiq anday protein se bharpoor hote hein aur ye juzz jismani weight mein kami ke lye lazmi tor par ghiza ka hissa hona chahiye. Is se hat kar bhi egg mein calories level kam hoti ha yani 78 calories, jabke ise khane se jismani metabolism ki speed tez hoti ha.
Anday khane se jismani energy bhi barhti ha jabke 1 week mein hi tond mein kami aana shru ho jati ha. Isi tarah gas ya pait phoolne ka masla bhi door hota ha.
No comments:
Post a Comment