How To Get Rid Of Bed Bugs Permanently


khatmal ka ilaj
khatmal ka ilaj


Guzishta dino ye research samnay aai thi ke zindagi ajeeran kar dene walay khoon choosne walay insect yani khatmal makhsoos rango ko pasand nahi karte.
Union College ki si research ke mutabiq black aur red color ko bohat ziyada pasand karte hein jabke green aur yellow ko na pasand.
Taham logo ka kehna tha ke diyanatdari ki baat to ye ha ke khatmalo ko jo rang pasand nahi in ka use zaroori nahi inhein aap se door rakh sake taham is hawalay se wo kisi tarika kar ki tayyari par zaroor kaam karengay. Is tarah sheffield hallam university ki 1 research men ye bat samne aai ke ye bugs ganday kapron ki janib lapakte hein aur bugs ko sone ke bistar se door rakhne ke liye zaroori ha ke kapron ko sone ke kamre mein kabhi na choren.
Mohiqqeen ka kehna tha ke 1 baar jab khatmal kisi kamray mein aa jayen to in se nijat bhat mushkil hoti ha jis ke natije mein log apnay dress aur furniture se jaan churate hein jo inehin kafi expensive parta ha.
In ke kehna tha ke ganday kapron ko kisi bag mein band kar ke rakha jaye jis se in se nijat pana kuch had tak asan ho jaye ga jabke in ka phelao bhi tham jayega.
Taham kuch gharelu totke zaroor aese hote hein jo ho sakta ha aap ko in khoon choosne wale keeron se nijat dila sakein.

Khatmalon Se Nijat Ke Liye Tamam Kapron Ko Dho Dein

Tamam kapre ya koi bhi cheez jo khatmal ki zad mein aa chuke h jese bed sheet, blanket ya deegar, inhein garam pani se achi tarah wash kar lein. Khatmal bohat ziyada garam pani mein zinda nahi reh pate aur inhein khatam karne ka ye asan tareen tarika ha.

Tamam Mutasira Jaghon Ko Dho Dalein 

Kapray ya chadarein dhone ke baad mutasira jaghon aur cheezo ko achi tarah saaf karein. Kamron ki safai hi khatmalo se nijat dilane ke wahid zariya ha.

Dhuwein Ke Zariye Khatmalon Se Nijat

Agarcha garam pani se dhulai kapron ya chadaron ko khatmalo se pak kar deti ha magar aap mattress mein in ke eggs ka khatma nahi kr pate aur wo 1 baar phir apni population barha kar zindagi ajeeran kar dete hein. To apnay mattress ko garam dhuwein mein kuch dair rakhein to khatmalo ke eggs ka khatma ho jata ha.

Tea Tree Oil Faidamand

Tea tree oil bugs ko bistar se door rakhne mein helpful sabit hota ha jis ki waja is ki tez mehak hoti ha, to aap is oil ka chirkao apnay bed ke ird gird aur kisi bhi mutasira hisse mein kar ke bugs ko khud par hamle se rok sakte hein.

Lavender Oil Bhi Behtareen

Lavender oil bugs se nijat dilane ka natural aur intahai moassar zariya qarar diya jata ha. Apne bed aur farash waghera par is oil ko ragarne se aap bugs se nijat hasil kar sakte hein.

Podina

Podina bhi aesi cheez ha jo khatmalon ko pasand nahi aur is ke leaves ko pees kar mutasira jaghon par daal diya jaye to wahan se khatmal ghaib ho jate hein, iske khushk leaves apnay mattress ke darmiyan aur kapron ke paas rakhne se bhi khatmalo se nijat mein madad mil sakti ha.

No comments:

Post a Comment