Dark Circle Khatam Karne Ka Tarika In Urdu

Dark Circle Khatam Karne Ka Tarika In Urdu

dark circle khatam karne ka tarika in urdu


dark circle khatam karne ka tarika in urdu

Aesi ladies jin ki jild ki rangat gehri hoti ha in ki eyes ke neechay siyah halqe ho sakte hein kiyounke in ki jild mein baaz zaroori ingredients ki quantity bohat ziyada hoti ha jin ki jild saaf aur safed hoti hein in mein kamzori ke bais aankhon ke neechay ki jild bohat kamzor ho jati ha is se jild ke neechay ganday khoon ki veins nazar aana shru ho jati hein.
Jin ke bais aankhon ke neechay ki jild mein pani bharne se wo sooj jati hein aur jab pani ki kami hoti ha to siyah halqe ban jati hein jild ki kamzori ke bais jo halqe parte hein in ka cosmetic aur khoorak se ilaj nahi kiya ja sakta.
Is maqsad ke liye laser use ki jati ha is ke liye bhi bohat ahtiyat ki zaroorat hoti ha kiyounke halki si ghalti ke bais halqe mazeed gehre ho jate hein, laser treatment ki bajaye agar gharelu totke use kiya jate to ziyada behtar ha kiyounke gharelu totko ka koi side affect nahi hota aur ye tamam qisam ke chemicals se bilkul paak hote hein.
Is totke ko banane ke liye ye cheezein darkar hongi.

Ingredients:

Ubtan   1 spoon
Haldi   1 spoon
Sabz Ilaichi 1 teaspoon
Sonf    1 chutki pisi hui
Vitamic C ki goli 1 adad pisi hui
Desi ghee hasbe zaroorat paste banane ke liye

Tarkeeb Aur Tarika Istemal:

Totke mein batai gai tamam cheezon ko desi ghee ki madad se mix kar ke paste bana lein. Ab is paste ko aankhon ke ird gird jahan siyah halqe ho udhar lagayen aur 20 se 25 minute laga rehne dein, phir ise arq e gulab ki madad se halka halka ragar kar dho lein. 1 week musalsal rozana istemal karein. 1 hafte mein aankhon ke gird mojood siyah halqe mukammal tor par khatam ho jayengay aur skin intahai khoobsurat ho jayegi.
Is nuskhe ko istemal karne ke ilawa apni sehat ka khas khayal rakhein. Raat ko sotte waqt computer ya mobile ka use mat karein aur raat gaye tak jagne se gurez karein. Kyounke is ki waja se eyes ke gird dark circle par jate hein aur is se eyesight bhi mutasir hoti ha.

No comments:

Post a Comment