Dadi Maa Ke Totkay

Dadi Maa Ke Totkay

dadi maa ke totkay
dadi maa ke totke
dadi maa ke nuskhe

Aaj kal city mein beauty parlour ka itna jaal phela huwa ha ke aap ghar se niklein to har 2 qadam par 1 beauty saloon ya parlour mojood ha aur aksar ladies in parlours ke services ki itni aadi ho chuki hein ke in ka ab in saloons jaye baghair kaam nahi chalta lekin in parlours ya saloon ke har service itne ziyada charges hote hein ke har khatoon is ko afford karne ki himmat nahi kar pati lekin therye! mayoos na ho haseen nazar aana aap ka paidaishi haq ha is liye aap haseen nazar aayen is ke liye hum ne aap ke liye kuch gharelu aur asan totke yakja kiye hein in ko use kar ke aap bhi in ladies ki tarah hi khoobsurat nazar aa sakti hein jo regular parlour kichakkar lagati hein.

Chehre Se Faltu Baal Khatam Karna!

Besan ko pani mein ghol kar face par lagayen jab ye halka dry ho jaye to ise hath ki madad se khurach kar utar lein. Is se baal jar se nikal aayengay. Pani mein namak daalkar sooti kapray se ise face par malein taqreeban 1 week ke regular use baal khatam hojayengay.

Gardan Ki Siyahi Door Karna:

Gardan ki siyahi ya daagh dhabbe door karne ke liye honey, lemon , haldi ka paste bana kar gardan par lagayen is se siyahi aur daagh dhabe hi door nahi hongay balke gardan gori bhi maloom hogi.

Aankhon Ke Halqe Door Karne Ke Liye:

Aankhon ke gird Hayateen E ka oil lagayen halqe khatam ho jayengay.
1 adad banana, 1 pao papeeta, 1 pao amrood, teeno ki chat bana kar rozana istemal karein.
Lemon ke arq mein roghan e chanbeli ke chand drops mila kar raat ko sote waqt aankhon par lagne se halqe door hote hein.
Aaloo ke pieces ko kaddukash karne ke baad malmal ke kapray mein baandh kar taqreeban 15 minute aankhon par rakhne se bhi siyah halqe khatam ho jate hein.
Malmal ke kapray par narangi ka taza rus laga kar eyes par rakhen se bhi halqe khatam ho jate hein.

Head se Lice Khatam Karne Ke Liye:

Sar se lice khatam karne ke liye tulsi ke patte mangwayen, thore se patte pani se wash karke pees lein, phir raat mein balon ki jaron mein laga kar kapra band kar so jayen. Doosre din subah kapra hata ka sookhe hue patto ko jhar lein aur comb kr lein. Thore se neem ke leaves boil kar lein aur 1 balti pani banayen aur is se sar wash kareini, tulsi ke patte ki taseer ha jo ke joyen doobra nhi parti. Shampoo balon mein lagayen phir nal ki dhar khol kar comb karte rahein pani dalte rahein jab shampoo bilkul saaf ho jaye to 1 chothai teaspoon olive oil, 2 drops lemon ke milar kar geelay balon kij jaron mein laga kar pani emin towel mein bhigo kar nichor kar balon mein lapet dein, kuch diar baad towel hata kar balon ko dry kar ke band dein, 1 ya 2 dafa ye amal repeat karne se lice se zindagi bhar ke liye nijat mil jayegi.

Chehre Ke Dano Ke Liye:

Agar aap ke face par bara sa dana nikal aaye aur aap raat bhar mein ise theek karna chahein to danay ke upar tooth pste lagayen aru 5 minute se 10 minute tak laga rehnein dein phir apan face wash kar lein, phir koi acha sa moisturiser use karein take danay ke andar se gandagi saaf ho jaye. Baking soda mein zara sa pani emin mila kar garha sa mixture banayan aur ise face par lagayen kuch dair mein neem garam pani se wash kar lein.
Chehre par nikalne walay dano ko bar bar hath na lagayen, pani ziyada se ziyda piyen aur makeup kam se kam use karein.

Saans Ki Beemari Ke Liye:

1 choti piyaz ka rus aur 1 bari ilaichi ko taway par bhoon kar is ke dany nihar moo kha lein, saans ki beemari ke liye intahi mufeed ha.

Hath Paon Ko Naram o Mulaim Karne Ke Liye:

1 bara spoon glycerine, half bottle arq e gulab, lemon juice 3 baray spoon mila kr rakh lein aur har roz raat ko regular use karien.

Motapay Ke Liye:

Methi dana 1 pao, kalonji 1 pao, green tea 1 pao, chilka ispaghol 1 pao charon ko bareek pees lein, din mein 4 times half spoon pani ke sath kha lein.

No comments:

Post a Comment