Homemade Conditioner Banane Ka Tarika

Homemade Conditioner Banane Ka Tarika

homemade conditioner banane ka tarika
natural hair conditioner banane ke tareekay

Aam tor se nahanay ke baad balon mein kangha karna aur inhein set karna mushkil ho jata ha. Dry hair ke liye market mein kai aqsam ke conditioners available hote hein lekin ghar mein natural ingredients se bane conditioners ki to baat hi alag hoti ha. In mein na nuqsan pohanchanay walay chemicals mojood hote hein na hi in par kai hazar rupay kharach karne parte hein. Bas ghar mein mojood roz mara ki cheezon se ye conditioners asani se tayyar ho jate hein. Jis se balon ko qudrati tor par taqat hasil hoti ha aur baal naram o mulaim hone ke sath sath in ki jarein bhi mazboot ho jati hein. Ghar bethe balon k liye behtareen conditioners tayyar karne ka tarika kar mandarja zel ha.

Ando ke zardi:    3 adad
White Sirka:      1 Teaspoon
Lemon Juice:      1 Teaspoon
Olive Oil:        1 Teaspoon
Honey:            2 Teaspoon

Tarkeeb Aur Tarika Istemal:
1 piyali mein 3 eggs ki zardi dalein inhein achi tarah phent kar is mein sirka mix kar lein. Phir is mein lemon juice aur olive oil mila kar achi tarah mix karein. Ab is mein honey shamil karein aur spoon ki madad se yakjan kr lein. Ye 1 garha sa paste tayyar ho jayega. Shampoo karne ke baad ise kisi bhi aam conditioner ki tarah hands ke zariye balon ki jaron se noko tak lekar aayen. 10 se 15 minute k lye laga chor dein phir fresh water se wash kar lein. Is ke hafte mein 1 dafa use se hi baal naram o mulaim aur khoobsurat ho jayengay.
Aainda jab bhi aap kisi cosmetic store par jayen to expensive condiotioner purchase karein. Jo waqti tor par to balon ko shiny aur khoobsurat bana dete hein lekin in ka der pa use balon ke kamzor ho kar jharne ka bai's banta ha. Ghar par conditioners tayyar karne ke ye asan tarika aap ke balon ko nai jaan aru zindagi bakhshe ga.

No comments:

Post a Comment