Low Blood Sugar Ka Ilaj

Low Blood Sugar Ka Ilaj

low blood sugar ka ilaj

low sugar ka desi ilaj
sugar ka asaan ilaaj
sugar ka asan ilaj
sugar ke ilaj ka behtareen nuskha

Blood Sugar ko blood glucose bhi kehte hein. 1 healthy body glucose ko na sirf carbohydrates se hasil karta ha balke protein aur fats waghera se bhi glucose hasil hota ha aur body ka tamam nizam glucose ki kami aur ziyadti se buri tarah mutasir hota ha. Is liye glucose ka hamaray body mein level aur normal hona az had zaroori ha. Glucose ko antaryon se barahe raast, blood mein dakhil hota ha aur agar ye quantity ziyada ho jaye to blood sugar barh jata ha.

Blood sugar 1 aesi halat ha jis mein khoon mein glucose ki zyadti ya kami ho jati ha. Normal level 20-70 tak hota ha. Blood sugar ka kam ya ziyada hone se bohat saray amraz mazeed janam lete hein. Maslan eyes ki kharabi, gurdo ki kharabi aur jild waghera mutasir hoti ha. Blood sugar ki 2 aqsam hein high aur low blood sugar aur sugar ki ye dono condition bohat ziyada khatarnak hein. Aaj ka ye article low blood sugar ke baray mein ha. Is marz mein blood sugar mein kami waqae ho jati ha. Ye soorat e haal aam tor par insulin therapy ke doran pesh aati ha ya sulphonamides ke muzir asrat ki waja se ho sakti ha.

Ye condition bari sangeen hoti ha aur is mein mareez ko 1 dam be chaini hona aur paseena aana shru ho jata ha. Shadeed sar dard ki waja se chakkar bhi aane lagte hein aur blood sugar ka level mazeed kam hone se mareez ko matose ho jata ha. jis se falij hone ka khatra barh jata ha. Is tarah ye marz ahista ahista ilaj na hone ki soorat mein intahai khatrnak sabit hota ha, low blood sugar ki chand wajoohat ye hein.
Glucose ka body mein kam banna
Glucose ka khoon mein bohat sust raftar se shamil hona
Body mein insulin level ka bohat ziyada ho jana
Bohat ziyada quantity mein alcohol ka istemal

Aaj mein aap k liye 1 aesa nuskha lekar aaya hoo, jis se is khatarnak marz ko ghanto mein khatam kiya ja sakta ha aur is ke istemal ke foran baad sirf 3 hours ke andar andar aap ki sugar normal ho jaye gi, nuskha ye ha.

Low Blood Sugar K Liye Zabardast Nuskha:

Kaju:           2 adad
Pure Honey:     1 spoon
Mineral Water:  1 glass

Low Blood Sugar Ke Ilaj Ka Tarika:

2 kaju ko bareek kaat lein aur in ko grinder mein daal kr pees lein aur powder bana lein, kaju ke powder ko 1 glass mineral water mein dalein aur is emin 1 spoon ka honey daal kar rozana raat ko sonay se pehlay piyen. Is ka istemal 1 hafta tak continue karein aur phir sugar test karwayen, Insha Allah sugar report normal aaye gi. Is ke baad hafte mein 3 din raat ko sonay se pehlay lazmi istemal karien. Aap ko kabhi bhi sugar ka marz tang nahi karega.
kaju ke fawaid mein se 1 kaju ka faida ye bhi ha ke baqi tamam dry fruits ki nisbat sab se kam fats kaju mein hote heinl is ke andar mojood oleic acid heart ko taqwiyat faraham karta ha. Is mein insaturated fats ya fatty acids mojood hote hein jo low blood sugar ko normal karne mein madad karte hein.

1 research ke mutabiq kaju ke bohat se fayde hein jin mein se 1 ye bhi kaju khanae se low blood pressure ka mareez sirf 3 hours mein is disease se nijat hasil kar leta ha aur is ki sugar normal ho jati ha. Kaju ke andar Vitamin A, C, D, B6, Calcium, Magnesium aur Iron mojood hote hein. Is ke ilawa is mein bohat ziyada quantity mein carbohydrates hote hein jo sugar k liye bohat afadiyat rakhte hein aur ise normal karne mein madad karte hein. Isi tarah honey ke andar bhi carbohydrates ki kafi miqdar mojood hoti ha.
Jo blood sugar ko normal karne mein kafi helpful ha lekin is ka ziyada use sugar level ko barha bhi sakta ha is liye kaju aur honey ko apnay sugar level ko dekhte hue munasib quantity mein use karein.

No comments:

Post a Comment