Kaleji Khane Ke Fayde

Kaleji Khane Ke Fayde

kaleji khane ke fayde
Gosht ke shoqen afrad kaleji ke az had shoqeen hote hein, aaye aap ko kaleji ka aesa faida batate hein jise jaan kar aap har qurbani par use sari khane ki koshish kareingay.

Vitamin B 12 Se Bharpoor:
Kaleji mein Vitamin B 12 ki wafir miqdar mojood hoti ha aur agar aap ye khayen gay to aap ke jism mein red cells ziyada banengay aur khoon ki kami poori hogi. Jin afrad ki HB kam hota ha un keliye kaleji az had zarooriha. Is Vitamin ki waja se hamare body mein energy paida hoti ha aur hair lambay hone ke sath skin khoobsurat hoti ha.

Kaleji mein na sirf Vitamin B 12 pai jati ha balke is mein deegar Vitamin B jese 6 ki quantity bhi pai jati ha. Is khane se aap ki yad dasht behtar hoti ha aur sath hi aap ka mood bhi khushgawar hoga.

Khoon Ki Kami Aur Pathon Ki Mazbooti:
Jese ke pehle bataya gaya ha ke is mein Vitamin B 12 ki wafir miqdar hoti ha aur ye khoon banati ha is tarah kaleji mein Vitamin A aur Iron bhi paya jata ha aur jab ye Vitamin b 12 se milta ha to khoon paida hota ha. Is mein protein bhi wafir miqdar mein milti ha aur ise khanay se jism mein kamzori door hoti ha. Is mein chromium, zinc aur copper paya jata ha jis se insan ke pathay strong hote hein.

No comments:

Post a Comment