Skin Care Tips In Urdu

Skin Care Tips In Urdu

Skin Care Tips In Urdu

Kiya skin ki chamak damak khatam hoti ja rahi ha aur peelahat se numaya hone lagi ha? Agar haan to ye body mein Vitamin B 12 ki kami ka natija ho sakta ha. Ye intabah 1 tibbi research mein samne aaya. Vitamin B 12 DNA, sehatmand aesaab ko barqarar rakhne aur blood cells ke liye intahai zaroori hota ha.
Ye khoon ke cells ko tahaffuz dekar body mein blood ki kami se tahaffuz deta ha jabke ye body mein oxygen ko kaam kane mein bhi madad deta ha. Aam tor pr 1 baligh shakhs ko din bhar mein 2, 4 mg Vitamin B 12 ki zaroorat hoti ha jo aksar proein se bharpoor khoorak se hasil ho jati ha taham agar is mein kami ho jaye to jild mein peelahat numayan hone lagti ha.
Is hawale se gosht, chicken, egg aur milk ke products qabil zikar hein jabke vegetables ka bohat ziyada istemal is vitamin ki kami ka bai's ban sakta ha. Research mein bataya gaya hai ke aesa hone par body mein khoon ke red cells ki kami hoti ha aur khoon ke cells oxygen ko le janay ka kaam karne se qasir rehte hein jis ke natije mein khoon mein oxygen ki kami hoti ha aur peelahat numaya hone lagti ha. Research ke mutabqi yarqan bhi Vitam B 12 ki numayan kami ki alamat hota ha aur ye aagay barh kar liver cancer ya hepatitis ke amraz ka khatra bhi barha sakti ha.

No comments:

Post a Comment