Buri Mot Se Bachne Ka Asan Tarika

Buri Mot Se Bachne Ka Asan Tarika

buri mot se bachne ka asan tarika

Hazrat Usman Razi Allah Tala Anhu kehte hein ke Haris Bin Noman Razi Allah Tala Anhu ki beenai ja chuki thi, inhon ne apnay Namaz ki jaga se lekar apnay kamray ke darwazay tak aik aesi rassi bandh rakhi thi ke jab darwaze par koi miskeen aata to apnay tokray mein se kuch lete aur rassi ko pakar kar darwazay tak jate aur khud apnay hath se us miskeen ko dete, ghar wale un se kehte aap ki jaga hum jakar miskeen ko de aate hein aap beenai se bhi mehroom hein, aap kiyoun takleef karte hein. Aap ke ghar walon ka israr jab had se barh jata to aap farmate mein mein ne Rasool Allah PBUH ko farmate huway suna hai ke miskeen ko apnay hath se dena buri mot se bachata hai, miskeen ko khana khilana ka kitna bara ajar bataya hai Sarware Kainaat PBUH ne, kash hamein bhi aesa Iman naseeb ho jaye, hum bhi miskeeno ko khana isi izzat aur ahtaram se khilayen aur hum bhi mot ke waqt zillat se mehfooz ho jayen.
Sadaqa Allah ki pasandeeda cheez hai Khuda bhi un se mohabbat karta ha jo us ke bando se mohabbat karte hein aur doosro se mohabbat hi 1 aesa wasf ha jo admi ko insan banata ha aur use ashraful makhlooqat ke martaba par faiz karta hai. Khuda ko insan ki gai ibadaat se nahi us ke ahsad e insani ki ziyada qadar ha jis mein doosre be saharo ke liye dard e dil rakhna hai.

No comments:

Post a Comment