Skin Allergy Se Nijat Hasil Karne Ke Liye Asan Gharlu Totkay

Skin Allergy Se Nijat Hasil Karne Ke Liye Asan Gharlu Totkay

allergy ka rohani ilaj

Bohat se log allergy ko skin ka 1 aam sa masla samajhte hein. Is problems ke kai sabab ho sakte hein jese ke quwat e mudafiat ki kharabi medicines ka use aur infections ka hona. Skin allergy mukhtalif ashkal mein ho sakti hein jesay ke kharish, dry skin aur jilk ka phatna waghera. Agarcha is sab ke liye medicines aur ointment mojood hein lekin skin ke in problems se nijat ke liye hum home remedies par depend kar sakte hein. 5 aesay totkay jo skin allergy se mehfooz rakh sakte hein. 
Lemon aap ko kharish se rahat backhshta ha. 1 lemon lijiye aur iska juice khujle wali jaga par malye aur khushk hone dijiye aap ko kharish se nijat mil jaye gi.
Skin problems mein tulsi ke pani se jild ko dhona mufeed ho sakta ha.
Podinay mein menthol hota ha. Khujle aur kharash mein podina lagane se aap ko rahat mile gi.
Phalon ke chilke bhi skin allergy mein bohat moassar hote hein banana ya watermelon ke chilke ko kharish se affected jaga par malne se rahat milti ha.
Aloe Vera insdade soozish ki khusoosiyat ke sabab skin allergy ke ilaj ke liye behtareen ha.

No comments:

Post a Comment