Bheege Hue Badam Ke Fayde

Bheege Hue Badam Ke Fayde

bheege hue badam ke fayde

Badam khane ke fawaid se to kisi ko bhi inkar nahi lekin almond khanay ka durust tarika kiya ha, kiya badam aesay hi kha liye jayen ya phir inhen bhigo kr khanay ka ziyada faida ha, ye wo sawalat hein jo badam khate hue aksar hamaray zehan mein aa jate hein. Badam ke gird yellow layer ki waja se TAnnin hota ha jiski waja se badam ki ghizayat se bharpoor faida nahi utahay ja sakta. Lekin agar is chilke ko bhigo kar utar liya jaye to badam mein ghizayat ziyad aa jati ha aur sath hi ye hazme ko behtar banta ha. Cheelay hue almonds mein Lipase enzyme hota ha jis ki waja se fats ko hazam karne mein bhi madad milti ha. Bhigoe hue badam insan ke weight ko kam karne mein bhi ahem kirdar ada karta ha, is mein mojood ghizayat ki waja se hamari bhook kam hoti ha aur natija ke tor par hum kam khana khate hein. Bhigue hue badam mein Anti Oxidant ki bhari miqdar mojood hoti ha jabke iske use skin fresh rehti ha. Bhigue hue badam mein Vitamin B-17 aur folic acid hota ha jo cancer se larne mein madadgar hota ha pregnant women ke liye bhi bohat mufeed hota ha.

No comments:

Post a Comment