Heart Attack Se Bachne Ka Tarika

Heart Attack Se Bachne Ka Tarika

heart attack se bachne ka tarika
Hafte mein 2 baar giryan khana heart disease ka khatra 25% tak kam kar deta ha.
Ye baat America mein hone wali 1 tibbi research mein samne aai.
harvard university ki research ke doran 2 lakh se zaid afrad ka jaiza 3 decades tak liya gaya aur maloom huwa ke har tarah ki giryan amraz e qalb ki rok tham mein madadgar sabit hoti hein.
Research mein ye baat bhi samne aai ke akhort (Walnut), badam (Almond), kaju (Cashew), mong phali (Peanut) ya piste samet har qisam ki giri khane ki adat motapa ka bai's nahi banti.
Research mein bataya gaya ke hafte mein 2 baar akhrot, badam, kaju, mong phali ki giri khana health mein darami had tk behtari lata ha.
Jo afrad 3 qisam ki giri hafte mein 2 ya is se zaid khate hein, in mein heart disease ya khoon ki sharyano ke masail ka amkan 15 to 23% tak kam ho jata ha.
Isi tarah peanuts khane ki adat ye khatra 13 to 15% tak kam kr deti ha.
Hafte mein 1 ya is se zaid bar akhrot (Walnut) khana amarze qalb aur blood ki sharyano ke masail ka khatra kam kar deta ha.
Amraze qalb ke ilawa bhi akhrot, badam, mong phali aur kaju ke fawaid mein ye ha ke ye cancer, diabetes, saans ki bimari aur mental disease se bhi tahaffuz detaha.
Badam, akhrot, mong phali aur kaji ki giri ke fayde ha ke in ko khana sehatmand ghizai adaat ko farogh deta ha jis se jan lewa amraz ka khatra kam hota ha.
Research ke doran ye bhi bataya gaya ke akhrot aur mong phali ka khana falij ka khatran bh kam karta ha.
Is tehqeeq ke results tibbi jareede Journal Of The American College Of Cardiology mein publish hue.

No comments:

Post a Comment