Sirka Ke Fawaid Vinegar Benefits In Urdu

Sirka Ke Fawaid Vinegar Benefits In Urdu

sirka ke fawaid vinegar benefits in urdu

sirka ke fawaid vinegar benefits in urdu

Jis ghar mein sirka ho wo mohtaj nahi hota, Rasool Allah Peace Be Upon Him ki batai hui ye ghiza sugar cholesterol cancer aur motapay ki bhi dushman ha sirka 1 Islamic food bhi ha. Iska use Tib Islami mein famous raha ha. Lekin iska hargiz matlab nahi ke artificial tor par ready kiya jane wala vinegar aesi ghiza ha. Mojooda dor mein pure vinegar milna mushkil nahi lekin bazari khano mein use hone wala sirka synthetic ha. Vegetables aur fruits se banaya jane wala sirka asli aur mufeed hota ha. Taham apple aur grapes ka sirka afzal shumar kiye jate hein. Apple ya grapes ke sirka mein gandum ya jo ki roti bhigo kar khanay se ghair mamooli rahat aur energy milti ha. Sirka Anbiya ko bhi behad pasand tha, Sahi Muslim mein Hazrat Jabir Bin Abdullah Se riwayat ha ke Rasool Allah Peace Be Upon Him ne apnay ghar mein salan talb farmaya, ghar ke logon ne kaha ke sirka ke siwa kuch nahi ha, Aap Peace Be Upon Him ne ise mangwaya aur is ko khanay lagay aur farmatay rahe ke behtareen salan sirka ha kiya hi umda salan sirka ha. Sunan Ibne Maja ki 1 riwayat ke mutabiq Nabi Akram P.B.U.H ka farman ha "Sirka kiya hi umda salan ha" A Allah sirka mein barkat ata kar is liye ke mujh se pehle ye tamam Anbiya ka salan tha aur jis ghar mein sirka ho wo mohtaj nahi ha" Sirka ke khuwas par atba likhte hein ke ye hararat o baroodat se murakkab ha magar baroodat ziyada hoti ha, teesre darja mein khushk ha. Stool naram karta, safra ko khatam karta aur fatal medicine ke zarar ko door karta ha. Agr shikam mein milk aur blood jam jayen to un ko tehleel karta ha, Tahal ke liye nafe ha, stomach ki safai karta ha balgham ka dushman ha. Kaseef ghizaon ko zado hazam banata ha khoon ko patla karta ha. Is ke beshumar benefits hein. Agar garam kar ke is ki kulli ki jaye to teeth ache khatam karta ha aur gums mazboot karta ha.
Apple vinegar blood sugar level kam karta ha, ye sugar ke patient ke liye bohat faida mand ha aur un afrad ke liye bhi jin ko mumkina tor par sugar ho sakti ha ya jo afrad sugar se bachna chahte hein. Cancer se bachne ke liye mudafiyat paida karta ha, baaz research ke mutabiq sirka cancer ke cells ko khatam karta ha aur tumour ko sukerta ha. Sirka cholesterol aur dil ki beemarion ke khatraat ko kam karta ha. Research se sabit huwa hai ke apple vinegar cholesterl aur tri glycerid ko kam karta ha jis se heart ki beemarion ke khatraat kam ho jate hein. Iska regular use weight loss ke liye intahai asar angez ha. Eid qurban ke moqa par apple ya angoor ka khalis sirka gosht ke sath use kiya jaye to gosht jald hazam hoga aur iske muzir asraat paida nahi hongay.

No comments:

Post a Comment