Rizq Aur Dolat Mein Barkat Ka Wazifa

Rizq Aur Dolat Mein Barkat Ka Wazifa

rizq aur dolat mein barkat ka wazifa
Bohat se log ye shikayat karte hein ke inke hath mein paisa nahi tikta. Jo kamate hein kharach ho jata ha. Goya aesay logon ke rizq mein barkat nahi pai jati.
Is masla mein involve afrad daily baad Namaz e Fajar aur Isha ke 1100 martaba Ya Ghaniu ka wird karein to Insha Allah rizq mein barkat hogi aur paisa bhi tikna shru ho jayega. Ye mujarrab Wazifa ha aur rizq mein bandish khatam karne ka behtareen ilaj bhi.
Jo dukandar aur tajir office kholne se pehle 70 times Ya Ghaniu parhe ga to Insha Allah karobar mein barkat hogi aur kabhi nuqsan na hoga. Thursday ke din ya Friday ki raat mein 19000 martaba is ism pak ka wird karna aur hamesha is amal ko jari rakhna insan ko ghaib se tongar aur dolat wala bana deta ha, ye bara mujarrab amal ha. Jis shakhs ki dukan na chalti ho ya income bohat kam ho ye dukan pehle bohat chalti thi ab income kam ho gai ha to use chahiye ke subah shop khol kar sukoon se daily 1000 martaba Ya Ghaniu ka wird kare aur is doran karobar bhi karta rahe. Insha Allah bohat jald karobar mein tarakki hogi.

No comments:

Post a Comment